Tuesday, November 23, 2010

Kam ab koi na aayega bas ik dil ke siva – Ali Sardar Jafri



Kam ab koi na aayega bas ik dil ke siva
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siva
bais-e-rashq hai tanharavi-e-rahrau-e-shauq
hamsafar koi nahi duri-e-manzil ke siva
hum ne duniya ke har ik shai se uthaya dil ko
lekin ik shokh ke hangama-e-mahafil ke siva
teg munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
begunah kon hai us shahar mein qatil ke siva
jane kis rang se aayi hai gulshan mein bahar
koi nagma hi nahi shor-e-silasil ke siva


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ali Sardar Jafri



No comments:

Post a Comment