Sunday, November 14, 2010

Hazrat Ali Ki Shadi



Fiza Muattar Khila Munnawar Sama Hai
Masroof-E-Kajkalahi
Zamin Ke Anchal Ki Har Shikan Mein Simat Rahi Hia
Jahan Panahi
Hajar Shajar Mast-O-Mehwe-E-Nagma Bashar Bashar Khush Nigahi
Ghata Hai Mashgool Aks Bandi Ke Raks Kerte Hain
Murg-O-Mahi
Mizaj Gulbanang Aqal Chonke,Duroord Ki Jaltarang Jaage

Hawa Rag-E-Jaan Ko Cheerti Hai,Ali Wali Ke Malang
Jaage
Woh Phool Mehke,Woh Rang Dehke,Tewar Chehke To Mast
Behke
Kali Jo Chatki Hawa Ko Khatki Chaman Se Atki Ke Shak
Mehke
Hayat Lipki Palak Na Jhapki Hazar Jalwoon Ke Pass Reh
Ke
Ghata Se Chin Ker,Fiza Mein Tan Ker,Woh Chand Nikla
Yeh Baat Keh Ker
Mughe Na Rook Ke Ban Sanwar Ker Hazar Mehshar Jaga
Raha Hoon
Hai Jis Ki Ulfat Ka Daag Dil Mein Ussi Ki Shadi Mein
Ja Raha Hoon


Wajooh Un Ka Mera Taruuf,Yeh Meri Pehchan Hai Jahan
Mein
Inhi Ke Dam Se Yeh Roshni Hai Yeh Soorat Jaan Hai
Jahan Mein
Inhen Bana Ke Mein Surkhuro Hoon,Yeh Mera Irfan Hain
Jahan Men
Daleel-E-Emaan Poochte Ho,Yehi To Emaan Hain Jahan
Mein
Inhi Ki Khalkat Se Hai Yeh Khalkat Na Jagte Yeh Jahan
Soota
Inhi Ki Khatir Banae Dunya Jo Yeh Na Hote To Kuch Na
Hota


Inhi Ke Chasham Karam Se Bigre Ho Muqaddar Sanbhal Gae
Hain
Kabhi Mein In Se Behal Gaya Hoon Kabhi Yeh Mughe Se
Behal Gae Hain
Meri Riza Ke Azeem Tajir Mere Irade Badal Gae Hain
Falak Pe Ik The Zamin Pe Aa Ker Panch Behroon Mein
Dhal Gae Hain
Inhi Mein Do Behar Mil Rahe Hain Tamam Aalam Hia Shad
Mera
Ke In Mein Ik Lakht-E-Mustufa Hai To Dosra Hana-E-Zaad
Mera


Zamin Batha Misal-E-Jannat Uroos Alam Bani Hoi Hai
Usool-E-Din Ke Sutoon Hain Muhkam,Haya Ki Chadar Tani
Hoi Hai
Har Aik Zarre Ki Aasmanoon Se Ajj Ki Shab Thani Hoi
Hai
Kiran Kiran Ik Hareer Ismat Ke Anchalon Mein Chani Hoi
Hai
Ladi Hoi Hai Hina Ki Kaliyon Se Ajj Tooba Ki Dali Dali


Ali Ki Khatir Nabi Ke Dar Per Ajj Tauheed Khud Sawali


Idher Falak Per Harem Wehdat Mein Noor Ka Saiban Saja
Hai
Sabhi Farishte Talab Hoi Hian Har Aik Noori Jhuka
Khara Hai
Idher Se Shams-O-Najoom-O-Sayyargan Ka Bhi Qafla Chala
Hai
Suno Suno Kaun Nooriyon Ko Khuda Ka Paigham De Raha
Hai
Woh Koun Khush Bakht Hai Ke Iss Dam Hamari Rehmat Ko
Aazmae
Ali Ki Shadi Ka Naam Bar Bin Ke Jo Dar-E-Mustufa Pe
Jae


Yeh Hokum Sun Ker Barhe Farishte Ke Apni Kismet Ko
Aazmaein
Saroon Pe Dastar Zehad Rakhi,Durust Hone Lagin Qabaeen


Huzoor Wehdat Tharak Rahi Hain Gale Mein Sehmi Hoi
Sadaien
Idher Se Jibreel Uss Taraf Shams Le Ke Aae Kae Duaiyen


Tu Koun,Jibreel Ik Taraf Ho Nae Payami Ko Bhejna Hai
Janab Sooraj Hoon,Ik Taraf Ho,Tughe Salami Ko Bhejna
Hai
Sada Yeh Aae Kahan Hai Zehra,Ke Ajj Zehra Ke Dar Pe
Jaen
Hamara Paigham Intihae Adab Se Ja Ke Inhen Sunaiyen
Na Dastakein De,Na Aahatein Hoon,Na Be Adab Ho,Na
Muskurae
Bus Iss Tarah Jae Jaise Momin Khud Apne Khaliq Ke Dar
Per Aae
Nabi Ki Chaukhat Pe Bosa De Ker Kahe Ke Abb Yeh Usool
Hoga
Jo Sar Se Paoon Talak Khuda Jaisa Ho Woh Zauj-O-Batool
Hoga


Falak Se Zehra Utar Rahi Hai Jaise Ilham Dil Mein Aae
Ke Jaise Ik Be Riya Namazi Bari Aqeedat Se Hajj Ko Jae


Badan Pe Oarhe Qabae-E-Ismat Laboon Pe Sal-E-Ala Sajae


Woh Jar Aha Hai Ke Jasise Qaari Gilaf-E-Quran Pe Sar
Jhukae
Nasha-E-Mawaddat Ki Mae Ka Zehra Ke Dil Mein Shayad
Sama Gaya Hai
Woh Jar Aha Hai,Woh Aa Raha Hai,Durood Parh Lo,Woh Aa
Gaya Hai


Yeh Anbiya Hain Woh Auliya Hain Ali Wali Ki Baraat
Dekho
Khizar Chirakhta Hai Har Barati Ke Rukh Pe Aab-E-Hayat
Dekho
Nashe Kea Lam Mein Jhoomti Hai Shaur Ki Kainat Dekho
Yeh Bazam Dekho,Yeh Log Dekho,Yeh Rang Dekho,Yeh Raat
Dekho
Kae Baharain Guzar Gae Hain,Khila Na Aisa Chaman Jahan
Mein
Kahan Khudai Mein Aisa Nausha Kahan Hai Aisi Dulhan
Jahan Mein


Lo Ho Chuka Aqad-E-Murtuza Ka,Kaho Ke Sal-E-Aala
Mubarak
Ali Wali Ko Nabi Ke Gher Mein Mila Hai Jo Martaba
Mubarak
Tamam Nabiyon Ko Ajj Ki Shab Mila Hai Mushkil Kusha
Mubarak
Imam Apna Hamain Salamat,Nusairiyon Ko Khuda Mubarak
Khuda Ka Din Baroor Huwa Hai Chaman Imamat Ka Khul
Utha Hai
Janab-E-Imran Ko Naboowat Ki Parwarish Ka Sila Mila
Hai



No comments:

Post a Comment