Saturday, November 20, 2010

Fursat-e-kar faqat char ghadi hai yaro



fursat-e-kar faqat char ghadi hai yaro
ye na socho ki abhi umr padi hai yaro
apne tarik makanon se to bahar jhanko
zindagi shamma liye dar pe khadi hai yaro
unake bin jee ki dikha denge chalo yun hi sahi
bat itani si hai ki zid aan padi hai yaro
fasala chand qadam ka hai mana lain chal kar
subah aayi hai magar dur khadi hai yaro
kis ki dahaliz pe le jake sajaun is ko
bich raste mein koi lash padi hai yaro
jab bhi chahenge zamane ko badal dalenge
sirf kahane ki liye bat badi hai yaro


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Jan Nisar Akhtar



No comments:

Post a Comment