Friday, November 26, 2010

Dua karo ki ye paudha sada hara hi lage – Bashir Badr



Dua karo ki ye paudha sada hara hi lage
udasiyon se bhi chehara khila-khila hi lage
ye chand taron ka aanchal usi ka hissa hai
koi jo dusara ode to dusara hi lage
nahi hai mere muqaddar mein roshni na sahi
ye khidaki kholo zara subah ke hawa hi lage
ajeeb shakhs hai naraz hoke hansata hai
main chahata hun khafa ho to wo khafa hi lage
nahi hai mere muqaddar mein roshni na sahi
ye khidaki kholo zara subah ke hawa to lage


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment