Thursday, September 2, 2010

Jo Aala Zarf Hote Hain

Ab tere shehr me rehne ki arzu na rahi
Kiu ke pehle ki tarah tujh se guftugu na rahi


Uske badle huwe tewar ka Sabab puchna Tha
Haai afsoos meri jaan rubaru na rahi


Hamsafar he meri tanhai meri nadani
Tujhko paaney ki sanam mujme justuju na rahi


Me ne his piar ko bakhsha Tha ibadat ka sharaf
Wadi e ishq me ab uski aaabro na rahi


Ham ne khai he qasam tarak e watan karma he
Wo dost yar wo apne bhi Lala roo na rahi


Waqt ab agaya samaan e safar baandh Nagri
Ke tujhme or thehrne ki justuju na rahi……

No comments:

Post a Comment