Friday, September 3, 2010

Dil ke sunsan jaziron ke khabar layega – Ahmed Rahi



Dil ke sunsan jaziron ke khabar layega
dard pehlu se juda ho ke kahan jayega
kon hota hai kisi ka shab-e-tanhai mein
gam-e-furqat hi gam-e-ishq ko bahalayega
chand ke pehlu mein dam sadh ke roti hai kiran
aj taron ka fusun khak nazar aayega
rakh mein aag dabi hai gam-e-maharumi ke
rakh ho kar bhi ye shola hamen sulagayega
waqt khamosh hai ruthe hue yaron ke tarah
kon lau dete hue zakhmon ko sahalayega
dhup ko dekh ke us jism pe padati hai jhamak
chaon dekhenge to us zulf ka dhyan aayega
zindagi chal ki zara maut ka damkham dekhen
warna ye jazba lahad tak hamen le jayega


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Rahi



No comments:

Post a Comment