Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay
Khud Ko Itni Dhoom Se Sooli Charhana Yaad Hay
Teen Moqay Bhi Diye Qazi Ne Ghor-O Fikr Ke
Aaj Tak Who Qeemati Moqay Ganwana Yaad Hay
Aik Nah Kafi Thi Her Muskil Se Bachne Ke Liye
Hum Ko Han Ka Faislaa Who Ehmaqana Yaad Hay
Ghar Jise Laye The Hum Roti Pakane Ke Liye
Ab Pakati Hay Hamen Us Ka Pakana Yaad Hay
Nah Silaee Janti Hay Nah Cooking Maloom Hay
Han Oose Shohar Ko Ungli Per Nachaana Yaad Hay
Uski Her Ik Baat Per Kehna Hi Parta Hay ‘Bajaa’
Is Tarah Ooska Hamen Barson Bajana Yaad Hay
Mantay Hen Hum Husaini Hadesaa Hoga Shdeed
Kiyon Keh Tum Ko Waqeaa Itna Puranaa Yaad Hay
Khozema Husaini Khandwi
No comments:
Post a Comment