Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya
Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya
Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya
Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain
Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya
Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha
Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya
Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain ?
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya…!
Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai
Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai
Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai
Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai
Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai
Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai
Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai
Share with us more Parveen shakirs poetry in hindi in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment