Thursday, September 30, 2010

Kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye – Adeem Hashmi



Kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye
tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
jane wo tu kidhar gaya jane wo hum kidhar gaye
rahon mein hi mile the hum rahen nasib ban gain
tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye
wo bhi gubar-e-khak tha hum bhi gubar-e-khak the
wo bhi kaheen bikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gaye
koi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigun
kashti kidhar chali gai jane kidhar bhanvar gaye
tere liye chale the hum tere liye thahar gaye
tu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar gaye
waqt hi kuch judai ka itna tavil ho gaya
dil mein tere firaq ke jitne the zakhm bhar gaye
barish-e-vasl wo hui sara gubar dhul gaya
wo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye
itane qarib ho gaye itane raqib ho gaye
wo bhi “adeem” dar gaya hum bhi “adeem” dar gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Adeem Hashmi



No comments:

Post a Comment