Wednesday, September 22, 2010

Sad Poetry – Hajoom-e-Gham Say



Hajoom-E-Gham Say Jis Dam Aadmi Ghabra Sa Jata
To Aisay Main Usay Awaz Per Qaboo Nahi Rahta
Wo Itnay Zoor Say Faryad Karta Hai
K Jaisay Wo Zameen Per Or Khuda Ho Asmanoon Per
Magar Aisa Bhi Hota Hai
K Us Ki Awaz K Ruknay Say Pahlay Hi
KHUDA Kuch Is Qadar Nazdeeq Say
Or Is Qadar Rehmat Bhari Muskan Say Us Ko Thapakta Hai
Or Us Ki Baat Sunnta Hai
K Faryadi Ko Apni Awaz Ki Shiddat
Or Sada Ki Bechaini Per Nidamat Honay Lagti Hai



No comments:

Post a Comment