Thursday, September 23, 2010

aah ko chahiye ik umr asar hone tak – Mirza Ghalib



aah ko chahiye ik umr asar hone tak


aah ko chahiye ik umr asar hone tak
q jita hai teri zulf ke sar hone tak


dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatare pe gauhar hone tak


aashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak


hum ne mana ke tagaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak


partav-e-khur se hai shabanam ko fana ke talim
main bhi hun ek inayat ke nazar hone tak


yaknazar besh nahi fursat-e-hasti gafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak


gam-e-hasti ka ‘asad’ kis se ho juz marg ilaj
shamma har rang mein jalati hai sahar hone tak


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment