Wednesday, March 17, 2010

wohi jhuki hui belen wohi daricha tha – Shakeb Jalali



wohi jhuki hui belen wohi daricha tha
magar wo phul-sa chehara nazar na aata tha
main laut aaya hun khamoshiyon ke sahara se
vahan bhi teri sada ka gubar phaila tha
qarib tair raha tha baton ka ek joda
main aabju ke kinare udas baitha tha
bani nahi jo kaheen par kali ke turbat thi
suna nahi jo kisi ne hawa ka nauha tha
ye aadi-tirchi lakiren bana gaya hai kon
main kya kahun ki mere dil ka varaq to sada tha
udhar se barha guzra magar khabar na hui
ki zer-e-sang khunuk paniyon ka chashma tha
wo us ka aks-e-badan tha ki chandani ka kanval
vi nili jhil thi ya aasaman ka tukada tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Shakeb Jalali



No comments:

Post a Comment