Dard-E-Dil Toh Rukne Ka Ab Naam Nahi Leta Hai
Sabr-E-Dil Bhi Mera Ab Kaam Nahi Leta
Jab Se Bakshay Hai Meri Ankho Ko Ashoo Tunay
Tab Se Deewana Bhi Ab Aram Nahi Leta Hai
Itna Sang-Dil Hai Ki Barbaad Woh Karke Mujhe
Apne Sar Koi Ilzam Nahi Leta Hai
Ye Inyaat Bhi Nahi Kam Mere Harzai Ki
Zakhm Deta Hai Maar Dam Nahi Leta Hai
Jo Ki Rusvai Se Darta Hai Bahut Woh ‘Ishrat’
Woh Mera Nam Sar-E-Aam Nahi Leta Hai.
No comments:
Post a Comment