Friday, March 26, 2010

Mohabbat Marti Nahi Jaana - Sad Poetry


Mohabbat marti nahi janna!!! 
Mohabbat sath rehti hai 
Kai roopoon main palti hai 
Kai sapnoon main dhalti hai 
Ye barsoon se sunte hain 
Kahin shoula kahin shabnam 
Kahin hai Aag ki surat 
Umeed-e-sahar ki mourat 
Mohabbat mann main basti hai 
Mohabbat rooh main ghulti hai 
Per ye ab tm jaan lo janna 
Mohabbat zinda rehti hai!!! 

Kahin mojon c hai bharpoor 
Kahin darya c hai saakin 
Hum ye bhi sunte hain 
Mohabbat tabinda rehti hai 
Wasl ki bhi surat
Haan ye wasl ki surat 
Mohabbat sansoon main chalti hai 
Ye Qalbon min basti hai 
Mohabbat Zinda rehti hai…! 

Kisi ne khoj lgai hai 
Mohabbat Akhrish hai kia??? 
Kisi k khushk honton pe 
Aab-e-sada ko lagana 
Mohabbat thehar gay dil mein 
Kisi bhi qaid punchi ko 
Rah-e-Azari dekhana 
Mohabbat ban gaye dil mein 
Kisi ka dil behlana 
Kisi ke zakham sihlana 
Kisi ki Zulf suljhana 
Mohabbat naam de dhala 
Kai rang hai is ke 
Kai roop hai is ke 
Yeah sab hi Mohabbat hain…! 

Per ik baat kehni hai 
yeah sab to mohabbat ke 
wo saray rang hain dekho 
jo dil ko chain dene ko 
hamesha sath rehte hain 
sansoon ke chalne ko 
Faqt ik aas dete hain 
zara ghore kero gay tum 
to yeah jaan jaoo gay 
mohabbat ke rang yeah saray 
Makhas umeed se lipte hain 
Agar umeed nahi ho to….? 

Chaloo….! 
Mein tum ko batlaoon 
Mohabbat hijr hai janna 
Khizan ke bad mousam ka 
Yeah ik shajar hai janna 
Namukamil zeesat ki khawahish 
yeah ban ke dasti hai 
Aik zahar ki manind 
Rag rag mein chalti hai 
Weerani ankhoon mein 
Sada abad kerti hai 
Yeah Qalab-e-Parishaan ko 
Buhat barbaad kerti hai 
Mohabbat hijr ki sourat 
Gar thehar gaye dil mein 
To jaan lo janna 
Mohabbat marti nahi hai na….? 
Mohabbat maar deti hai 
Haan yeah maar deti hai…!

No comments:

Post a Comment