Monday, March 15, 2010

Jahan ped par char dane lage – Bashir Badr



jahan ped par char dane lage
hazaron taraf se nishane lage
hui sham yadon ke ik ganv mein
parinde udasi ke aane lage
ghadi do ghadi mujhko palkon pe rakh
yahan aate aate zamane lage
kabhi bastiyan dil ke yun bhi basin
dukanen khulin, karakhane lage
waheen zard patton ka kalin hai
gulon ke jahan shamiyane lage
padai likhai ka mausam kahan
kitabon mein khat aane-jane lage




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment