Friday, March 12, 2010

Safar ke had hai vahan tak ke kuch nishan rahe – Rahat Indori



Safar ke had hai vahan tak ke kuch nishan rahe
chale chalo ke jahan tak ye aasman rahe
ye kya uthaye qadam aur aa gai manzil
maza to jab hai ke pairon mein kuch thakan rahe
wo shakhs mujh ko koi jalsaz lagata hai
tum us ko dost samajhate ho phir bhi dhyan rahe
mujhe zamin ke geharaion ne dab liya
main chahata tha mere sar pe aasman rahe
ab apne bich marasim nahi adavat hai
magar ye baat hamare hi darmiyan rahe
magar sitaron ke faslen uga saka na koi
meri zamin pe kitne hi aasman rahe
wo ek saval hai phir us ka samana hoga
dua karo ke salamat meri zaban rahe



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori



No comments:

Post a Comment