Wednesday, June 24, 2009

Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se – Aga Hashr



Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyada nasib se
goya tumhari yaad hi mera ilaj hai
hota hai paharon zikr tumhara tabib se
barabad-e-dil ka aakhiri saramaya thi umeed
wo bhi to tum ne chin liya mujh garib se
dhundhala chali nigah dam-e-vapasi hai ab
aa pas aa ke dekh lun tujh ko qarib se


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aga Hashr



No comments:

Post a Comment