ganv mit jayega shahar jal jayega
zindagi tera chehara badal jayega
kuch likho marsiya masanavi ya gazal
koi kagaz ho pani mein gal jayega
ab usi din likhunga dukhon ki gazal
jab mera hath lohe mein dhal jayega
main agar muskura kar unhen dekh lun
qatilon ka irada badal jayega
aj suraj ka rukh hamari taraf
ye badan mom ka hai pighal jayega
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Bashir Badr
No comments:
Post a Comment