Tu bhi kisi ka pyar na paye khuda kare
tujh ko tera nasib rulaye khuda kare
raton mein tujh ko neend na aaye khuda kare
tu dar-ba-dar ke thokaren khaye khuda kare
aaye bahar tere gulistan mein bar bar
tujh par kabhi nikhar na aaye khuda kare
meri tarah tujhe bhi javani mein gham mile
tera na koi sath nibhaye khuda kare
manzil kabhi bhi pyar ke tujh ko na mil sake
tu bhi dua ko hath uthaye khuda kare
tujh par shab-e-visal ke raten haram hon
shammen jala jala ke bujhaye khuda kare
ho jayen bad-duayen meri dosto galat
ab un pe koi harf na aaye khuda kare
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hafeez Jullundhary
No comments:
Post a Comment