Sunday, June 21, 2009

Ruh bakhshi hai kam tujh lab ka – Wali Mohammed Wali



Ruh bakhshi hai kam tujh lab ka
dam-e-isa hai naam tujh lab ka
husn ke khizr ne kiya labarez
aab-e-haivan son jam tujh lab ka
mantaq-o-hikmat-o-mani par
mushtamil hai kalam tujh lab ka
rag-e-yaqut ke qalam son likhen
khat parastan payam tujh lab ka
sabza-o-barg-o-lala rakhte hain
shauq dil mein davam tujh lab ka
gurq-e-shukar hue hain kam-o-zaban
jab liya hun main naam tujh lab ka
hai “wali” ke zaban kon lazzat bakhsh
zikr har subh-o-sham tujh lab ka


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Wali Mohammed Wali



No comments:

Post a Comment