Monday, June 15, 2009

Mother shayari




labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti


Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai


Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna


Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai


jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai


aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya


meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun


‘munawwar’ maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti


lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai




Maa Ki Jyoti Se Noor Milta Hai.
Sabke Dilon Ko Surur Milta Hai.
Jo Bhi Jata Hai Mata Ke Dwar,
Usse Kuch Na Kuch Zaroor Milta Hai….



Maan ki dua khaali nahin jati,
Us ki bd-dua bhi taali nahi jati,

Bartan maanjh kar bhi Maaan,
Teen chaar Bache paal hi leti hai,


Magar teen chaar bachon se,
Aik maan paali nahin jati…



Share with us more .Mother shayari .in comments section below



No comments:

Post a Comment