Sunday, May 31, 2009

Open The Zip

Feeling bored?
Wondering, what to do?


Open the zip!


Enter your hands in between your zip..


take out your…


book from your bag and study..

Funny womans point of view

From a womans point of view; –


The most perfect man in the world is her father :)
The most abused husband in the world is her brother :p –
The most handsome man in the world is her son 😀 –
The luckiest and happiest man in the world is her sister’s husband 😉 –
The most thankful man in the world is her son in law :-] –
And the worst, most selfish, heartless, total jerk and


the man with worst behavior in the world is her husband..:-D 😉

Saturday, May 30, 2009

Sharab La Sharab La Lyrics




Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La


Zara Se Pyas To Buja Sharab La Sharab La



Tere Shabab Per Sada Karam Rahay Bahar Ka


Tuje Lagay Meri Dua Sharab La Sharab La



Yahan Koi Na Jee Saaka Na Jee Sakay Ga Hosh Mein


Mita De Naam Hosh Ka Sharab La Sharab La



Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La


Tera Bara He Shukria K Pilay Ja Pilay Ja



Na Zukar Ker Hisab Ka Sharab La Sharab La


Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La



Zara Se Pyas To Buja Sharab La Sharab La





Shadi me JIN

Shadi me JIN aa gya Jin ko dekhte hi Larkyon ki Chikhen nikal gyi


Peer ne kaha Sari Larkyan Mun dholen Wo sb mun dhoke ayi to JIN ki cheeeekh nikal gyi..:-D

Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo Ne



Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo Ne
Kale Kale Balo Ne Gore Gore Gaalo Ne
Najar Mein Shokhiya Aur Bachapana Sharaarat Mein
Adaae Dekh Ke Hum Fas Gaye Mohabbat Mein


Hum Apani Jaan Se Jayege Jin Ki Ulafat Mein
Yahin Hai Ki Na Aayege Vohi Maiyat Mein
Khuda Saval Karega Agar Qyamat Mein
To Hum Bhi Kah Denge Hum Lut Gaye Sharafat Mein

Vahi Vahi Pe Qyamat Ho Vo Jidhar Jaye
Juki Juki Hui Nigah Se Kaam Kar Jaye
Tadapata Chod De Raste Me Aur Gujar Jaye
Shitam To Ye He Ki Dil Le Le Aur Mukar Jaye


Samaj Me Nahi Aata Ki Ham Kidhar Jaye
Yahi Irada He Ki Yah Kah Kar Kam Mar Jaye
Vafa Ke Nam Pe Mara He Be-Vafaao Ne
Ke Dam Bhi Na Lene Diya Is Jafaao Ne


Khuda Bhula Diya He Is Husn Ke Khudaao Ne
Mita Ke Chhod Diya He Ishq Ki Khataao Ne
Udaaya Hosh Kabhi Zulf Ki Havaao Ne
Khayal-E-Naaz Ne Luta Kabhi Adaao Ne


Hajaro Lut Gaye Najaro Ke Ek Isare Par
Hajaro Bah Gaye Toofan Ban Ke Dharo Par
Na Inake Vaaso Ka Thik He Na Baato Ka
Fasana Hota He Inaka Hajar Rato Ka


Bahut Hasin He Vese To Bhol Pan Inaka
Bhara Huaa He Magar Zahar Se Badan Inaka
Ye Jis Ko Kaat Le Vo Pani Pi Nahi Shakata
Davato Kya Duaao Se Bhi Jee Nahi Shakata Hai


Inahi Ke Mare Huye He Ham Bhi Jamane Mein
He Chaar Labz He Mohabbat Ke Fasane Me
Zamana Inako Samajata He Nek Aur Masoom
Magar Ye Kese He Kya He  Kisi Ko Kya Maloom


Inahe Na Tir Na Talavar Ki Jarurat He
Shikar Karane Ko Nigahe Ulafat He
Hasin Chalo Se Dil Paayamaal Karate Hai
Najar Se Karate He Bate Kamaal Karate Hai


Har Ek Bat Me Matalab Hazar Hote Hai
Ye Sidhe Sade Bade Hoshiyaar Hote Hai
Kuda Bachaye Hasino Ki Tez Chalo Se
Pade Kisika Bhi Pala Na Husn Valo Se


Husn Valo Me Mohabbat Ki Kami Hoti He
Chahane Valo Ki Takadeer Buri Hoti He
Unaki Bato Me Banavat Hi Banavat Dekhi
Sharm Aankho Me Nigaho Me Lagavat Dekhi


Aag Pahale To Mohabbat Ki Laga Dete Hai
Apane Rukhsaar Ka Deevana Bana Dete Hai
Dosti Kar Ke Fir Anzaan Najar Aate Hai
Sach To Ye He Ki Be-Imaan Nahar Aate Hai


Moute Kam Nahi Duniya Me Mohabbat Inaki
Jindagi Barabad Hoti He Badolat Iunaki
Din Baharo Ke  Gujarate He Magar Mar Mar Ke
Loot Gaye Hum To Hasino Pe Bharosa Kar Kar Ke



Kisi sunsaan raste par

Tumhe kisne kaha tha ye….


Kisi sunsaan raste par
Kisi anjaan chehre se
Zara si aashnai ko,
Bahut hi khaas likh dalo
Kahin do ,char baton ko
Bahut pyara sa tum dilkash
Haseen ehsaas likh dalo


Tumhe kisne kaha tha ye…..
Suno ae mom ki gudiya
Ab is daur ke andar
Koi majnu nahi banta
Koi ranjha nahi hota
Qadam do char chalne se
Safar sanjha nahi hota
To in bekaar sochon pe
Suno ! rone ka dar kaisa
Jise paya nahi tumne
Use khone ka dar kaisa !

wafa ka ristha

Tu he bta tujhay chahu to chahu kesy


teri soch k mutabik nazar aon to aon kesy


tujh meri piyar per yakin hota nai hai


wafa ka rishta nibhon to nibhon kesy??

Jota chupai ki rasm k waqt dulhay ki 1 sali

Jota chupai ki rasm k waqt dulhay ki 1 sali ne kaha: main 1100 lungi
2nd sali boli: main to 2100 lungi.
Peechay se 1 SARDAR bola 2310 lay lo, us main FM bhi hai

Kaash Khuda Ne Ye Dil Kaanch K Banaye

Kaash Khuda Ne Ye Dil Kaanch K Banaye Hote
Todnay Walon K Hathon Me Zakhm To Aty...

Kaash Khuda Ne

Friday, May 29, 2009

High Class Insult

High Class Insult
.
.
Girl to Boy: Apne Baal to Dekho Jaise Ghass Ugi
Ho.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Boy 2 Girl: Is Liye Itni Der Se Soch Raha Hu Ke Mere
Saamne Bhais Kyun Khari Ha.. :p :p

Sare Mosam Ro Pare

Iss Dafa Barshein Rukti He Nahi Faraz,


Hum Ne Ansu Kia Piye Sare Mosam Ro Pare !!!!

Ye AnkhaiN Dekh Kar

Ye AnkhaiN Dekh kar Hum Sari Dunya Bhool Jaatay haiN
InhaiN paanay ki Dhun maiN har Tamanaa Bhool Jatay haiN

Thursday, May 28, 2009

Jawan hai raat saqiya sharab la sharab la – Madan pal



jawan hai raat saqiya sharab la sharab la
zara si pyas to bujha sharab la sharab la
tere shabab par sada karam rahe bahar ka
tujhe lage meri dua sharab la sharab la
yahan koi na jee saka na jee sakega hosh mein
mita de naam hosh ka sharab la sharab la
tera bada hi shukriya pilaye ja pilaye ja
na zikr kar hisab ka sharab la sharab la
 


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Madan pal




College me function

Son 2 dad: Car ki chabhi do college me function hai
.
.
Dad: Car ??
.
.
Son : 10 Lakh ki car me jaunga to rob padega.
.
.
Dad : Ye le 10rs. 48 Lakh ki bus me ja zyada rob padega… !! 😛


Daddy rocks beta shockd 😀

Land of Sorrow

Someday, the journey from the land of sorrows to the love filled


springs will be completed


Perhaps i will conquer my love then….!!!

raham ae gam-e-janan baat aa gai yan tak- Shamim Jaipuri



raham ae gam-e-janan baat aa gai yan tak
dasht-e-gardishi-e-dauran aur mere gareban tak
hamasafir phir koi hadasa hua shayad
ik sajab udasi hai gulsitan se zindan tak
ik hum hi lagayenge khar-o-khas ko sine se
varana san chaman mein hain mausam-e-baharan tak
mere dastak-e-vahashat ko aj rok lo varana
fasala bahut kam haihath se gareban tak
hai ‘shamim’ azal hi se silsila muhabbat ka
halqa-e-silasil se gesu-e-pareshan tak


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Shamim Jaipuri



Wednesday, May 27, 2009

Sath Dene Chala Aya

Aansu Se Kaha K Tanhai Ma Aya Karo


Itne Sare Logo Ma Mazak Na Banaya Karo


Ispe Aansu Tarap K Bola


Itne Logo Ma Aap Ko Tanha Paya


To Sath Dene Chala Aya

Rulane ke Saza Hai

Rone Ki Saza Hy Na Rulane Ki Saza Hy


Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Saza Hy


Haste Hen To Ankh Se Nikal Ate h Ansu


Ye Ek Shaks Ko Be-Inteha Chahne Ki Saza Hai….!!

Why Didnt You Give The Secretary Job

Banta: Why didnt you give the secretary job to that girl who came for interview?
Santa: She seemed to be very stupid girl.
Banta: How did you infer that shes stupid?
Santa: When I asked her to sit, she started looking for a chair!

Happiness often Sneaks

Happiness often sneaks in through a door
you didnt know you left open.

Socha Tha Us Se Bichrein Ge To Mar Jayn Ge

Socha Tha Us Se Bichrein Ge To Mar Jayn Ge,
Jaan lewa Khof Tha Bas, Hua Kuch Bhi Nahi….

Jaan Shayari

Tuesday, May 26, 2009

Us K Lehje K Badalne Ki Kahani Ko Samjh

Us K Lehje K Badalne Ki Kahani Ko Samjh Kar

Ab Bhi Aye Dil Usy Chaho To Tumhari Marzi...

Us K Lehje K

Us Ke Labon Pey Raat Kahani Ghazab Ki Thi


Us Ke Labon Pey Raat Kahani Ghazab Ki Thi,
Jazbat Beh Rahe The Rawani Ghazab Ki Thi...

Raja Bhi Laajawab Tha Wadi-e-Ishq Ka,
Lekin Dayar-e-Husn Ki Rani Ghazab Ki Thi...

Kya Kya Na Sham Aai Meri Umer Me Magar,
Guzri Jo Tere Sath Sunhani Ghazab Ki Thi....

Dekhi Hai Maine Shehar Me Charti Jawaniyan,
Lekin Jo Tujh Pe Aai Wo Jawani Ghazab Ki Thi....

Mein Ke Ek Umar Tak Likhta Raha Dastaan-e-Gham,
Jo Tum Ne Sunai Kal Shab Wo Kahani Ghazab Ki Thi......

Jo Hote Hai Dil Ke Paas

Kabhi Kabhi zindagi me aise bhi mod aate hai
Jo hote hai dil ke paas wahi door ho jate hai

Zindagi Me Agar

Zindagi me agar kuch hasil karna ho to hamesha apne dimagh ki suno


Agar dimagh se koi jawab na aaye to Dil ki suno Wahan se bhi koi jawab na aae to


Anhken band kr k socho k “Ya-Allah kahin me SARDAR to nhi?


NAHIEEEEEEEE!

Taras Jaoge Hamare Labon Se Sunne Ko

Mere Pyar Ki Had Lafzo Me Byan Na Hogi…
Itni Mohabbat Karta Hu Jo Tujhse Kabhi Bhula Na Hogii…


Mayusia Ladaiya Ye Jo Nok Jhok Hai…
Pyar Hai Tujhse Isi Liye Ye Rok Tok Hai…


Badhta Rahega Pyar Kabhi Sath Na Chhodunga…
Mout Bhale Aa Jaye Magar Mere Pyar Ki Kabhi Na Inteha Hogi…


Saans Hai Meri Tu Meri Rooh Bhi Tu Hai…
Saaz Hai Mara, Mera Sangeet Bhi Tu Hai…


Raag Bhi Mera Tu Sur Tal Bhi Tu Hai…
Tuhi Jawab Mera Mera Sawal Bhi Tu Hai…


Ankho Se Padh Liya Kar Mohabbat Ko Meri Tu…
Varna Ye Juba Se Kabhi Bya Na Hogi…


Mere Pyar Ki Had Lafzo Me Byan Na Hogi…

Urdu Funny Fool sms

Agar koi Tumhare pas ae or kahe “Tum


Bewaqof ho


Tu koi lamha zaya mat kerna, us ko Gardan se pakerna or kehna”




Kissi hor nu na dassi

Monday, May 25, 2009

meri tasveer ke tokre pata chala



Wo roya to bohat mgr dil toor kr roya koi majboori ho gy jo moh mor k roya mere samane kar diye meri tasveer ke tokre pata chala mere jane k bad wo un ko jor kar roya jo muskaraya tha meri mot ki kabar son kar lash dekh k wo apni Jaan toor k roya jab howa use ehsas apni sangin galti ka sona Rauf kabar pe meri wo haat jor k roya:-(Rauf Zahoor-)



Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha – Khwaja Mir Dard



Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha
mera guncha-e-dil hai woh dil-girifata
ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha
aziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq mein hum ne kya kya na dekha
kiya mujh ko dagon sarv-e-chiragan
kabho tu ne aakar tamasha na dekha
tagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha
hijab-e-rukh-e-yar the aap hi hum
khuli aankh jab, koi parada na dekha
shab-o-roz aye “dard” darapai hun us ke
kaso ne jise yan samajha na dekha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khwaja Mir Dard



Health and time

Health and Time!


two things we take for granted when we have them

Kathin hai rahguzar thodi dur sath chalo – Ahmed Faraz



Kathin hai rahguzar thodi dur sath chalo
bahut bada hai safar thodi dur sath chalo
tamam umr kahan koi sath deta hai
main janata hun magar thodi dur sath chalo
nashe mein choor hun main bhi tumhen bhi hosh nahi
bada maza ho agar thodi dur sath chalo
ye ek shab ke mulaqat bhi ganimat hai
kise hai kal ke khabar thodi dur sath chalo
abhi to jag rahe hain chirag rahon ke
abhi hai dur sahar thodi dur sath chalo
tavaf-e-manzil-e-janan hamen bhi karana hai
‘faraz’ tum bhi agar thodi dur sath chalo


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Smile like idiot

When i miss you, i re-read our old conversations


and smile like an idiot :)

Sunday, May 24, 2009

NevEr RAise youR Voice

A Smart Statement
NevEr RAise youR Voice, Just IMprove the QualitY of your ArgumeNt…
Life Is mUch Like FaceBook…
People Will LikE your Problems & CommeNt…
But No oNe Gonna SolvE Them BecauSe
EveRybody Seems So Busy iN Updating thEir Own Status…
You RegulaRly Text your FrieNds…
some of them do not Reply YoU
But
If you Text them From New NumbEr, Everyone will Reply that,Who r You?
People Have Time For Unknown
But
Not For KnowN…!Strange But TruE

Ajab dhoop chaaon

Wo paas tha to ajab dhoop chaaon rehti thi
Bas ab to aik hi mosam thehr gaya mujh mein

aankhen taras gai

aaay qasid faqat ja key un sey itna kehna….


k aankhen taras gai han tere didaaaar k liye…..

Saturday, May 23, 2009

Apne Hi Haal Pe Hansna Kabhi

Apne Hi Haal Pe Hansna, Kabhi Hans K Rona

Me Ba-Yak Waqt Tamasha Bhi, Tamashai Bhi...

Apne Hi Haal

Bhai Chaye

Child: Mama muje bhai chaiye


Mama: Beta tmhre Abu U.S.A gay hain,


wo a jaen phir sochen ge.


Child: Mama,Ap sath waly uncle se bat kro na,


papa ko Surprise denge.

wo manzer

Khatum Hoga Zindgi ka ye Safar DEKH LENA


Tanha chale jayenge hum
DEKH LENA


Zindgi me Nahi koi Mukam Apna


Baad marne k Hogi Qadar
DEKH LENA


Mujhe abi koi kali b nhin deta


Pr phulon se mehke gi meri Qabar
DEKH LENA


Tanha hi zindagi me chal rahi hun


Janaze me hoga saara shahar
DEKH LENA


Jo ab haalat pr mere muskrate hen


Pareshan honge un k chehre
DEKH LENA


Kuch k sache kuch k jhoote aansu honge


Kitna ajeeb hoga wo manzer”DEKH LENA.

Jannat Mangny ki Dua

(Jannat mangny ki Dua)
“Allahumma inni assalukal jannah”


.


(DozaKH se dori ki duA)


“Allahumma ajjrni minannar”


.


Jitne Log parhengY APko B utna HE swab milega..

Friday, May 22, 2009

Wo Jo Mere Umar

Wo Jo Meri Lambi Umar Ki Dua Kiya Karty Thay


Ab Wohi Yaaseen Parhty Hain K Aasaani Say Dum Niklay

Janey Q Tanhai

Akaily Jeeny Ki Aadat To Pehly Se Thi,
“Faraz”


Janey Q Tanhai Mehsus Ho Rahi Hai Us K BadL Janey K Baad!

Itney Qareeb Say Guzar Kar Gaya Hai

Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai

Ummat-e-Muhammad i S.A.W.W ki Fazeelat:

Ummat-e-Muhammad i S.A.W.W ki Fazeelat:


1. Inko zaeef & kamzor bunya gya ta k Ghuroor na karen


2.Qad-o-qamat mein chota banaya ta k khane peene aur libas ka bojh ziyada na ho


3.In ke umarein choti ker de ta k gunah kam rahen


4.Inhe fuqra banaya ta k Akhirat me HISAB halka rahe


5.INHE SAB SE AKHAI UMMAT BANAYA TA KE QABAR ME REHNE KI MUDDAT KAM HO.


Thanks to ALLAH 4 Making us An UMMATI Of PROPHET (S.A.W.W)

Thursday, May 21, 2009

Muqaam Faiz Koi Raah Me Jacha Hi Nahi

Muqaam Faiz Koi Raah Me Jacha Hi Nahi
Jo Kooye Yar Se Nikle To Sooye Daar Chale...

Muqaam Faiz Koi

Nice Love Quotes

Nice Comments
For ” LOVE ”


Mohabat Aankh
Se Nahi DiL Se Dekhti Hai (Shakspear)


Jo Bar Bar
Mohabat Krte Hain
Wo Mohabat Krna Nahi Janty
(Ghalib)


Mohabat Wo Kheel Hai Jis Main Aqal Haar Jati Hai
(Hitler)


DiL Ki Hazar
Aankhen Hoti Hain
Magar Wo Mehboob
K Aib Ko Nahi Dekh Sakti
(BULLEY SHAH)

Hum Teri Aarzoo Main Jeetey Hain

Hum teri aarzoo main jeetey hain
Ye nahi hai tu zindagi nahi…

Hansi Dekh Ke Meri



Hansi Dekh Ke Meri, Sab Mehfil Main Muskura Diye,
Tumne Padh Liye Shayad Gham Jo Mere Paas Aa Gaye.


Baahon Main Bhar Ke Poochha Jab Tumne,
Kucch Na Bole Hum Bas Muskura Diye.


Jaana Tha Aaj Tumhe Humse Door Hamesha Ke Liye,
Jaate Jaate Tere Chehre Se Ashq Chura Liye.



Sajj Ke Beithi Thi Tu Apne Mehboob Ke Aagosh Main,
Saare Armaan Apne Ishq Ki Aag Main Jala Diye.


Jaana Hai Kal Subah Tumhe Sab Naato Ko Tod Kar,
Is Baat Ne Mere Ashq Thay Baha Diye.


Dekhi Thi Maine Shikan Tere Chehre Par Bhi,
Mere Aasuon Ne Sitam Tujhpe Dha Diye.


Tune Poochha Jab Hale Dil De Ke Apni Kasam,
Raaz Sare Is Dil K Thay Tujhe Bata Diye.


Palkein Bheegi Huyi Lab Khamosh Thay,
Teri Khamoshi Ne Mujhe Saare Jawab Diye.


Saj Chuki Thi Par Doli Teri,
Hum Dono Ne Apne Gham Chhupa Liye.


Sab Roye Thay Teri Vidaayi Main,
Dekha Jab Tune Mujhe Toh Hum Muskura Diye.



Wednesday, May 20, 2009

Girl Speical Loves

Girl Loves without any special reasan. ..


Her laughters spread like a music in the house ..


When she speaks , speaks wdout break n evry1 asks chup b kr jao ..


When she is silent , mOther says tbiat thek hy na , father says , aj ghar chup chup ku hy , bhai says naraz ho kia ..


She is the real nOn stop music ..


Dedicated to emotional ,cute ,pretty,sweet & sincere ‘ girls


Thats me,


Thats u !


Thats a “GIRL”


Proud to be a girl :)


stay blesSEd !!

Wo Sooye Ittefaaq Aa Mile The - Two Line Urdu Shayari

Urdu-Shayari

Two Line Urdu Shayari

Wo Sooye Ittefaaq Aa Mile The Hum Se,
Hum Nadaan Samjhe Hamari Dua’on Mein Asar Hai…

Taskin ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile – Mirza Ghalib



Taskin ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile
huran-e-khuld mein teri surat magar mile
apni gali mein mujh ko na kar dafn bad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyon tera ghar mile
saqi gari ke sharm karo aj warna hum
har shab piya hi karte hain mein jis qadar mile
tujh se to kuch kalam nahin lekin ae nadim
mera salam kahiyo agar namabar mile
tum ko bhi hum dikhaye ke majanun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gam-e-pinhan se gar mile
lazim nahi ke khijr ke hum pairavi karen
mana ke ek buzurg hamen hum safar mile
ae sakanan-e-kucha-e-dildar dekhana
tum ko kaheen jo ghalib-e-ashufta sar mile


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Dost Zero ke tarah

Kehte hain äche Döst MATH k”Zero”Jese hote hen jiski koi Qeemat Nhi hoti,


Par wo jis k sath jur jaye Uski Qeemat10 Guna Barh jati hay!


Dedicted 2 all my


“Zeros.

Some Sentiments Expressed

Some Sentiments Expressed At
Their Best


Dear Facebook,
Just Wait, One Day They All Will
Leave You Too!
Sincerely,
Orkut


Dear Optimist,
That’s Not A Light At The End Of
The Tunnel, But A Train!
Sincerely,
Pessimist


Dear Icebergs,
Sorry To Hear About Global Warming.
Sincerely,
Titanic


Dear Yahoo,
I’ve Never Heard Anyone Say,
“I Don’t Know, Let’s Yahoo It!”
Sincerely,
Google =D

Height of Facebook Addiciti0n

A  b0y’s fb status
I’m onLine on fb during Lecture hahaha* :)
Comment fr0m his pr0fess0r:
*Get out of the cLass n0w* :-p
Dean Liked comment! 😉
Friend commented:
*jaLdi aa yar, cafe may fit mahoL hy* 😀
Gate keeper’s comment:
*Saab pehLe idhar aa k apni bike Lock kardein*
Mom commented:
*NaLaik cLass ni leni to sabzi Le k seedha ghar wapis aa..* :)
DaD cOmmented:
Dekh lo apne betay ki harkatain ://
G.f cOmmented: I Hate U! :@ kamine mUjhse kaha tha Daddi hOsPitaL may hyn miL nai sakta*
Daddi cOmmented:
ManhOos tU ghar aa batati hOoN tUjhe.;)..

Tuesday, May 19, 2009

Blissful Winds Swept Away My Tearful Woe




Blissful Winds Swept Away My Tearful Woe


The Well-Known Pier A Rosary Flourished



Filled With Children And Adults


Joy Hovered In The Cold Air



Glistening Golden Scintilating Like A Star


The Sea Howled In Gleaming Hapiness



Luring Seagulls Out Of Their Nests To Catch Exotic Fishes


Hubbubs Echoed From The Beach To The Busy Cities



Telling The Workers To Stop Work


Early To Taste The Indigo Water Of Summer




Funny Mrassi Sms

Aik mrassi jb b kapray dhota barish aa jati.


Aik din mrassi sarf lainay dukaan pe pohncha hi tha k baadal aa gae.


Mrassi:KIDDAR??
Ma te “rass” lain ayan:-P

Please Post Sherz On Ankhain

Please post sherz on Ankhain


Teri jesi ankhon walay sahil par jab atay hain
tou lehrain shor machati hain, lo aj samandar doob gaya

Dil di pehli Kahani parh

Mere dil di pehli KAHANI parh Kise hor nu yar banavi na…..


Menu soch samj k dil devin Mere nal mzaq bnavin na……


Is pyar vich role hunde ne Dil qaim rakhin ghbravin na….


Je tu mangen te me jind v de san, Pr


kise hor nu yar bnavin na Veri jag sara is pyar da ay Be qadre nu dard sunavin na…


Ay dunia bari he zalim a, Ainu kadi vi dukh sunavin na….


Hr ak ni honda pyar de kabil, A gal mri tu bulavin na….


J mil javy tenu yar sucha,us yar nu kadi ganvai na….!

Monday, May 18, 2009

Rishta Discussion

Rishta discussion now a days:


Larkay Walay: larki ne kya kiya hua hai??


Larki Walay: jee Masha Allah candy crush


kay 110th stage per hai 😛

To Be Happy With A Man

Golden Rule:-
To be happy with a man,
love him little and understand him a lot.


To be happy with a woman,
love her a LOT and DO NOT TRY to understand her :)

Khoon ban kar munasib nahi dil bahe – Hafeez Jullundhri



Khoon ban kar munasib nahi dil bahe
dil nahi manata kon dil se kahe
teri duniya mein aaye bahut din rahe
sukh ye paya ki hum ne bahut dukh sahe
bulbulen gul ke aansu nahi chatatin
un ko apne hi margub hain chahchahe
aalam-e-naz’a mein sun raha hun main kya
ye azizon ke chikhen hai ya qahqahe
is naye husn ke bhi adayon pe hum
mar mitenge basharte ki zinda rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Hafeez Jullundhri



Always be king

Dear daddy,
I may find a prince someday,
but you will always be my king.

Sunday, May 17, 2009

Pyar ke Qadar

Arz kiya hai


Na mujhe uske pyar ki qadar,


Na usko mere pyar ke qadar.


Bas maine bhi soch lia iss qadar


Two parallel lines cannot intersect


each other 😛 😉

Allah Jo Chahta Hai

Allah farmata hai. Tu karta woh hai jo
Tu chahta hai .Par hota woh hai jo MAIN
chahta Hoon Tu Woh kar jo MAIN chahta
Hoon phir woh Hoga Jo Tu chahta hai.

Would You Dance If I Asked You To Dance



Would You Dance If I Asked You To Dance?
Would You Run And Never Look Back?
Would You Cry If You Saw Me Cryin’?
And Would You Save My Soul Tonight?


Would You Tremble If I Touched Your Lips?
Would You Laugh?
Oh Please Tell Me This
Now Would You Die For The One You Loved?
Hold Me In Your Arms Tonight


I Can Be Your Hero Baby
I Can Kiss Away The Pain
I Will Stand By You Forever
You Can Take My Breath Away

Would You Swear That You’d Always Be Mine?
Or Would You Lie?
Would You Run And Hide?
Am I In Too Deep?
Have I Lost My Mind?
I Don’t Care, You’re Here Tonight


I Can Be Your Hero, Baby
I Can Kiss Away The Pain
I Will Stand By You Forever
You Can Take My Breath Away


Oh, I Just Want To Hold You
I Just Want To Hold You, Oh Yeah
Am I In Too Deep?
Have I Lost My Mind?
Well, I Don’t Care, You’re Here Tonight


I Can Be Your Hero, Baby
I Can Kiss Away The Pain
I Will Stand By You Forever
You Can Take My Breath Away


I Can Be Your Hero, Baby
I Can Kiss Away The Pain
Now I’m Stand By You Forever
You Can Take My Breath Away
You Can Take My Breath Away


I Can Be Your Hero



Nahi To Ho Jayega

Nahi to
ho jayega


Kya?


Arre wahi
jis se hum darte hai
?
?
?
wahi jo is umar me aksar ho jata hai
?
?
?
dekha ho gaya na
?
?
TIME WASTE!!

Saturday, May 16, 2009

Peetal ki Baaliyon Mein

Peetal ki Baaliy0n me Beti Biyah di us ne


.


.


Baap kam karta tha s0ney ki kaan Me..


1st May Labor Day

Parents teach their kids

Parents always teach their kids not to talk to strangers
.
.
.
.
.
.
But the funniest thing is that they strictly support


arrange marriage. Kia yeh khula tazad nahi ? :(

Yehi To Waja Shikast-e-Wafa Hui

Yehi To Waja Shikast-e-Wafa Hui Meri,
Khuloos-e-Ishq Main Saada Dili Ki Aamezish...

Yehi To Waja Shikast

Friday, May 15, 2009

Ek Shakhs Kar Raha Hai Abhi Tak Wafa - John Elia

Ek Shakhs Kar Raha Hai Abhi Tak Wafa Ka Zikr
Kaash! Is Zabaan Daraz Ka Muh Noch Le Koi...

Ek Shakhs Kar

Sardar dosti urdu sms

Sardar Apnay 16 Bachon Aur BV
K Sath Dost K Ghar Dawat Pay Gya.
Dost Ne Itni Bari Family Dekh Kar Ghusay Mein Kaha:
Haya Nahi Aayi?
Sardar:
Nai, Ohda Paper C.

Sarfaroshi ki tamanna

Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu e qaatil mein hai
Karta nahi kyun doosra kuch baat cheet,
Dekhta hoon main jise woh chup teri mehfilmein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar,
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Waqt aane pe bata denge tujhe aye aasman,
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layi hai sab ko qatl hone ki ummeed,
Aashiqon ka aaj jamghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar,
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar.
Khoon se khelenge holi gar watan muskhil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Haath jin mein ho junoon kat-te nahi talvaarse,
Sar jo uth jaate hain woh jhukte nahi lalkaarse.
Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
Aur bhadkega jo shola sa humaare dil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe kafan,
Chaahate lin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Youn khara maqtal mein qatil keh raha hai baar-baar,
Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai.
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
Hosh dushman ke udaa denge humein rokona aaj.
Door reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

Thursday, May 14, 2009

Phir ek din aisa aayega – Ali Sardar Jafri



phir ek din aisa aayega
aankhon ke diye bujh jayenge
hathon ke kanval kumhalayenge
aur barg-e-zaban se nataq-va-sada
ke har titali ud jayegi
ik kale samandar ke tah mein
kaliyon ke tarah se khilati hui
phoolon ke tarah se hansati hui
sari shaklen kho jayengi
khoon ke gardish dil ke dhadakan
sab ranginiyan so jayengi
aur nili faza ke makhmal par
hansati hui hire ke ye kani
ye meri jannat meri zamin
is ke subahen is ke shamen
bejane hue besamajhe hue
ik musht gubar-e-insan par
shabanam ke ro jayengi
har cheez bhula di jayegi
yadon ke hasin butkhane se
har cheez utha di jayegi
phir koi nahi ye puchega
‘sardar’ kahan hai mahafil mein
lekin main yahan phir aaunga
bachon ke dahan se bolunga
chidiyon ke zaban se gaunga
jab bij hansenge dharati mein
aur konpalen apni ungali se
matti ke tahon ko chedengi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholunga
sar sabz hatheli par lekar
shabanam ke qatre tulunga
main rang-e-hena aahang-e-gazal
andaz-e-sukhan ban jaunga
rukhsar-e-urus-e-nau ke tarah
har aanchal se chan jaunga
jadon ke havayen daman mein
jab fasal-e-khazan ko layengi
rahru ke jawan qadmon ke tale
sukhe hue patton se mere
hansane ke sadayen aayengi
dharati ke sunahari sab nadiyan
aakash ke nili sab jhilen
hasti se meri bhar jayengi
aur sara zamana dekhega
har qissa mera afsana hai
har aashiq hai saradar yahan
har mashuqa sultana hai
main ek gurezan lamha hun
ayyam ke afsunkhane mein
main ek tadapata qatra hun
masaruf-e-safar jo rehta hai
mazi ke surahi ke dil se
mustaqbil ke paimane mein
main sota hun aur jagata hun
aur jag ke phir so jata hun
sadiyon ka purana khel hun main
main mar ke amar ho jata hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ali Sardar Jafri



Judge less & Love More

No one in this world is pure & perfect
if U avoid the people for their mistakes
U will always be alone in this world,
So judge less & love more.

5 Truth of Life

5 TRUTHS OF LIFE


Truth no 1: nobody is real in this world except Mother


Truth no 2: a poor person has no friends


Truth no 3: people do not like good thoughts they like good looks


Truth no 4: people respect the money not the person..


Truth no 5: the person you love the most, will hurt you the most.

Sardar ne masjid se joti chori ki

Sardar ne masjid se joti chori ki


Molvi:ene juti chuki edi tend kro


Sardar:aik pair le lo te foji cating kr deo

Someone Loves You

Its nice feeling when you know that someone loves you,


someone misses you, someone needs you,


but it feels much better when you know that someone never forgets you.

Tu Watan Ki Aabro Hai



Yeh Hawaon K Musafir , Yeh Samundaron K Raahi
Meray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan Sipahi


Yeh Tera Yaqeen Mehkam , Teri Himmaton Ki Jaan Hai
Teray Bazo’uon Ki Kuwwat Teray Azm Ka Nishaan Hai


Tu Hi Raah , Tu Hi Manzil , Tu Hi Meer E Karwaan Hai
Yeh Zameen Teri Hai , Yeh Jahaan Tera Jahaan Hai



Tu Watan Ka Pasbaan Hai , Teray Haath Main Hai Shaahi
Meray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan Sipahi


Teri Abro’uon Ki Junbash Teri Ankh Ka Ishaarah
Teray Dushmano Ki Aafat , Teray Qehar Ka Ishaarah


Tu Watan Ki Aabro Hai , Tu Watan Ka Hai Sahaarah
Iss Aabro Se Chamka Iss Dais Ka Sitaarah


Yehi Bankapan Hai Tera , Yehi Teri Kaj-Kalaahi
Meray Sir Bakaf Mujhahid , Meray Sar Shikan Sipahi



Saeed Ajmal password

Hamesha Woh Rakhtey Password Log Hain
Jo Kabhi Na Bhooley,
16646
Kis Ka Hai Yeh Password?
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Saeed Ajmal … =)

Wednesday, May 13, 2009

cartoon sms

3 bar lion roar karay to kia hota ha???


??


Tom and Jerry shuru hota hai :p

Ganga Dussehra Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Ganga Dussehra Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Ganga Dussehra Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Ganga Dussehra Day sms greeting.


JAI MAA DURGAA,
MAA APE MONAKAMANA PURI KARE…
MAY ALL YOUR PROBLEMS SOLVED OF YOUR LIFE.
*HAPPY DUSSEHRA!*


Happy Ganga Dussehra Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



Sabhi Ache Hain Ghalib

Sabhi Ache Hain Ghalib
Bas Khuda Bura Waqt Na Laye...

Sabhi Ache Hain

NEWTON S 7th LAW

NEWTON’S 7th LAW


“The rate of loadsheding is directly proportional to the rise in temperature.. as the temperature increase the rate of load sheding also increases


Let L is loadsheding, T is temperature, So, L=bT Where b is constant of beghairti


beghairtii of GOVERNMENT always remains constant unless or until an external force in the form of ”chitar” is exerted by public on the government….:-D:-P

Nahi Mumkin Me Rah-E-Shoq Se Wapis

Nahi Mumkin Me Rah-E-Shoq Se Wapis Palat Jaun

Parinday To Nahi Lote Kabhi Ghar Shaam Se Pehle...

Nahi Mumkin Me

Life Irony Little Girls

Life Irony Little Girls
Want Barbie Dolls And Little
Boys Want Big Cars. After
Growing Up Big Girls Want
Cars And Big Boys Want
Barbie Dolls.

Throw Flowers

If u r in a war, instead of throwing a grenade at the enemy, throw flowers. It may stop them n they may start thinking abt love, peace, harmony n consider war destructive. And while they r thinking abt this,
,
.
.
.
.
.
.
Throw a grenade…! :p 😀

Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete



Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete
Bismil Ho To Qaatil Ko Duaa Kyuun Nahiin Dete


Vahashat Kaa Sabab Ruuzan-E-Zindaan To Nahiin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujhaa Kyuun Nahiin Dete


Ik Ye Bhii To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gam-E-Jaan Hai
Ai Chaaraagaro Dard Badhaa Kyuun Nahiin Dete


Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karoge
Mujarim Hai Agar Ham To Sazaa Kyuun Nahiin Dete


Rahazan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhii
Rahabar Ho To Manzil Kaa Pataa Kyuun Nahiin Dete


Kyaa Biit Gaii Ab Ke ‘Faraz’ Ahal-E-Chaman Par
Yaaraan-E-Qafas Mujh Ko Sadaa Kyuun Nahiin Dete



Tuesday, May 12, 2009

Life is like a novel

Life is like a novel & every day is a new page ,
so if a page is sad next will be happy ,
so donot worry turn the next page &enjoy the life …

Shayari on Dosti



Agar Jo Dil Ki Sunoge To Haar Jaoge,
Hum Jaisa Yaar Kaha Se Paoge,


Jaan De Ne Ki Baat To Har Koi Karta Hain,
Zindagi Banane Wala Kaha Se Laoge,


Jo Ek Nazar Dekhoge Tum Humein,
Toh Har Taraf Sirf Humhi Ko Paoge,



Yaqeen Apni Dosti Par Itna Hain Mujhe,
Ki Meri Yaari Mein Toh Har Lamha Jee Jaoge.


Share By : Bindu Mahajan



Tere Bicharny ka

MEN TERY MILNY KO MOAJZA KAH RAHA THA LEKAN


TERY BICHARNY KA SANEHA B KAMAL GUZRA

Dekh Lete Hain Khalish Dil Ki Mita Lete Hain

Dekh Lete Hain Khalish Dil Ki Mita Lete Hain
Pas-e-Dewaar Khare Hain Tera Kya Lete Hain...

Dekh Lete Hain

Monday, May 11, 2009

Dil La K Tur Gye

Dil la k tur gye
dil da sutta jin jga k tur gye
satto puch yaara asi kiven katde haa
din din raat swaah bna k tur gye

Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi



Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi;
Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi;


Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar;
Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi;


Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha;
Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi;


Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka;
Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi;


Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar;
Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi!



Ye haqeeqat jan le

har shakhs hai dhool se bana
aur phir us mai hee ja mila
ye haqeeqat hai tu jaan le
ku sach se mun hai phairta???
.
.
.
tu hee tera mujrim bandayaaa…..

Kisi Bewafa Sa Wafa Kar Li Jay



dil k bazar main


Kisi Bewafa Sa Wafa Kar Li Jay
Ik Bar Chalo Pir Khata Kar Li Jay


Do Jisam Jan Ik Ban Jain Kash Hum
Utha Kar Hath Ya Dua Kar Li Jay


Teri Jab Mohabat Zakham Hi Zakham Hain
To Dard Sa Dard Ke Dua Kar Li Jay


Tujay Bhi Ho Kash Ahsaas-E-Mohabat
Bazm Main Teri Jo Sada Kar Li Jay


Bana Day Na SAJID Ko Sehraon Ka Rahi
Mohamat Agur Pir Aay KHUDA Kar Li Jay



Accident in different culture

After Accident


American: Its Fine Man.


British: I am So Sorry.


Australia: No Worries Dude.


Germany: Are You Okay… ??
.
.
.
Pakistani: Andha hai kya saale dhakkan ki tarha chala raha hai
Akkal ke dushman saale tere baap ka road hai kya
bahar nikal dekh teri kaise bajata hun..:p 😀 :O 😀

Sunday, May 10, 2009

Wish you 23rd March

Pakistan Tujhe Salaam
Roushan Rahey Tera Kalaam
Raat Aur Din Chamke Tera Naam.
Wish You 23 March..!!

6 Rang Ye Spen V Trena Lare Garza



6 Rang Ye Spen V Trena Lare Garza,
Ka Khog Gabeen V Trena Lare Garza.


Pa Zaheri Husan Ye Ma Teroza,
6 Mahjabeen V Terna Lare Garza.


Da Nazawali Hase Zra Lobave,
6 Nazanen V Trena Lare Garza.


Dve Pa Khwaga Khwaga K Ohri Sary,
Sok Che Sherin V Trena Lare Garza.


Pa Bazari Aasono Sala Garze,
Har Yo Ta Zeen V Trena Lare Garza.


Dve Da Wafa Pa Jaba Na Pohegi,
Jafa Ye Deen V Trena Lare Garza.


Danana Kaani Garzavi Seno Ke,
Zaher Rangen V Trena Lare Garza.


Pakha Mewa Zaher Khaista Hkaregi,
Danana Khoren V Trena Lare Garza.


Ka Zan Khoshala IMDAD KHIYALA Ghware,
Sok Che Ghamgeen V Terna Lare Garza.



Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye q – Mirza Ghalib



Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye q
roenge hum hazar bar koi hamen sataye q
dair nahi haram nahi dar nahi aastan nahi
baithe hain rahaguzar pe hum gair hamen uthaye q
jab wo jamal-e-dilafaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
aap hi ho nazarasoz, parde mein muh chupaye q
dashna-e-gamza jansitan, navak-e-naz bepanah
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aaye q
qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahale aadmi gham se najat paye q
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahavas ke sharm
apne pe etimad hai gair ko aazamaye q
van wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas vaza
rah mein hum milen kahan, bazm mein wo bulayen q
han wo nahi khudaparast, jao wo bevafa sahi
jisako ho din-o-dil aziz, usaki gali mein jaye q
“ghalib”-e-khasta ke bagair kon se kam band hain
roie zar-zar kya, kijie haye-haye q



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Kuch Adhuri Khawahishon Ka Silsila Hai Zindagi

Kuch Adhuri Khawahishon Ka Silsila Hai Zindagi
Manzilon Se Aik Musalsal Faasala Hai Zindagi

Mere Darwaze Pe Dastak De K Chup Jane Ka Khel
Kab Talak Khelegi Ye Kya Bachpana Hai Zindagi

Tere Afsaane To Me Sunta Raha Hun Bar-haa
Naam Kya Tu Ne Kabhi Mera Suna Hai Zindagi

Barbaad Hum Ko Hona Tha Barbad Hum Hue
Duniya Hai Saari Naik Salakhon Si Zindagi

Qaatil The Jitne Mere Sabhi Ho Gaye Baree
Aur Chup Khari Thi Chashmdeed Gawahon Si Zindagi...

Kuch Adhuri Khawahishon

Baazi Jitt Ke Hun Asi Han Haar Chale



Baazi Jitt Ke Hun Asi Han Haar Chale,
Satt Apne Dil Te Ha Maar Chale,


Nai Bhulne Sajna Oh Din Sanu,
Jo Tere Sang Haan Guzaar Chale,


Marke Vi Karange Yaad Tenu,
Aisa Dil Wich Sama Ke Pyar Chale,


Je Koi Bhul Hove Tan Bakhs Devin,
Kar Salam Asi Jandi Vaar Chale,


Mulaqat Mukki Te Vichodda Suru Hoyea,
Uth Mehfilan Chon Ne Yaar Chale



Na Neend Hai Aankhon Me - 2 Line Sad Poetry

Neend-Sad-Shayari

Sad Neend Shayari

Na Neend Hai Aankhon Me, Na Hi Koi Hasrat,
Kitna Saada Sa Reh Gaya Hun Mein Tere Baghair…

Siskata Huwa Dekh

Kis Kis Adaa se Tujhe Manga Hai Rab Se


Aa Kabhi Mujhe Sajdon Mein Siskata Huwa Dekh

Keep Smiling

Our Life begins with our CRY.. and Ends with another’s cry.


Try to utilize this gap and laugh as much as possible btween these Cries..!!


Keep Smiling…..!!!!

Saturday, May 9, 2009

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef Hi Hoti Hogi

Dard-Shayari

Urdu Shayari - Dard Shayari

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef Hi Hoti Hogi,
Aik Qissa Hun Purana Sa, Bhula Dey Mujh Ko…

DiL se “YAAD” kr k bheja hy Happy New Year 2015



happy-new-year-2015c


 Aey Piyari “sobha”


Mery (Dost) ko


“salam” kehna


“w/salam” kre to


Thankxx kehna


“Muje YAD” kre to


“I MISS U 2″ kehna


Agr meri waja se us ki “NEEND” kharab ho to “SORY” kehna


agr msg “DELETE” krne lage to pyar se kehna


“Na kr “yaar”


“DiL se “YAAD” kr k bheja hy Happy New Year 2015…

Good Relationship with Some one

A Good Relationship Is With Someone


Who Knows All Your Insecurities


And Imperfections But Still


Loves You For Who You Are !!

Ankhein jhuka ker

na janay kyun wo muje muskura k milta hai


Andar k saray gham chupa k milta hai


janta hai ankhein such bol jati hain


shayd isi liy ankhein Jhuka k milta hai

Ik pathan apni bhabi ko khob mar raha tha!



Ik pathan apni bhabi ko khob mar raha tha!
Logon na pucha k tum apni bhabi ko Qun mar rhe ho?
Pathan: Hamara bhabi achi aurat nahi hai.
Logon ne pucha tumhain kaise pata.
Pathan Bola:
O Yara mai jis dost se bi puchta hun k tum kis sa phone pe baat ker rahe ho ,


Woh yehe kehta hai
TERI BHABI SE !!  😛 😛



Friday, May 8, 2009

7 qualities of a perfect wife

7 qualities of a perfect wife:


B eautiful,
R esponsible
E nergetic
A dorable
S weet
T ruthful and
S elf-Organized.


In short, she must have good B.R.E.A.S.T. S :-*

Pehchan lo to hum tumhary - Romantic Poetry


*♥* KASH *♥*

Kisi udas mosam main,
Meri ankhon pe wo hath rakh de apna,
,
or hunsty hue keh de,

Pehchan lo to hum tumhary....
Na pehchano to tum hmary....!!!

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko



Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh Ko


Tum Ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhte Hoon
Dil Mai Dharkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujh Ko


Baat Karnay Main Jo Mushkil Ho Tumhein Mehfil May
Main Samajh Jaaonge Nazron Se Bataana Mujh Ko


Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khuwab Pura Jo Na Ho Wo Na Dikhana Mujh Ko


Apne Rishtey Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena
Main To Aashiq Hoon Deewane Na Banana Mujh Ko



Zindagi Ka Har Raaz

Zindagi Ka Har Raaz Tanhayi Mein Paa Liya
Jiska Bhi Gham Mila Apna Bana Liya
Gham Jab Humara Sunne Ko Koyi Na Mila
To Rakha Sar Sajde Mein Aur Rab Ko Suna Diya.

Dua Hai

AJ


Dua Hai


Us Khaliq -e- Kainat


Se K ap ki Sari Mushkilat Door karay


Dua Ha


Us


“GHAFOOR Ur RAHEEM”


Se ap ko sehat ata karay


Dua Ha


Us


“RAB-UL-IZZAT”Se K apki Hifazat Karey


Dua Ha


Us”GHANI”Se K apko Her Darja Nawaaz De


Dua Ha


Us”MALIK-E-KAINAT”


Se K apko Her”KHUSHI”Se Nawaz De.


Ameen

Thursday, May 7, 2009

Narsi Mehta Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Narsi Mehta Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com. Celebrate Narsi Mehta Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Narsi Mehta Jayanti sms greeting.


Narsinh Mehta was born in the ancient town of and then shifted to Jirndurg now known as  in the District of , in Vaishnava community. He lost his mother and his father when he was 5 years old. He could not speak until the age of 8 and after his parents expired his care was taken by his grand mother JayKauri.


Swarth Mate Sahu Saga Thaye Che,
Sambandh Na Name Daga Thaye Che,


Kyan Nibhave Che Aaje Dosti Koi,
Dosto To Saav Bewafa Thaye Che,


Kare Je Sankalp Sathe Rehvano,
Eej Jaldi Juda Thaye Che,


Banine Aave Che Insan Khuda,
Ahin Avine Kyan Koi Khuda Thaye Che,


Happy Narsi Mehta Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team




You Know What COLLEGE Means

You know what COLLEGE means??
C=Come
O=On
L=Lets
L=Love
E=Each
G=Girl
E=Equally
So every BOY goes to COLLEGE.

Optimistic in Life

Worries at the start of the day means u r still alive!!


Clothes that don’t fit means u have a good appetite.


Tears in ur eyes means there is somebody u care for.


The mess to clean after party means u have friends around u.


Roof that needs fixing means u have got a house.


Taxes to pay means u r not unemployed.


Msg on ur mobile means there is somebody who remembers u.


Learn to be optimistic in life because everything around u happens for a reason.:-)

Dua Mangna

Aj ki aik achi baat
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Dua khud k liye mangna Ibadat hy Aur


Dosaro k liye mangna Khidmat Hy


Ibadat se Jannat milti hy


Aur Khidmat se Allah

Wednesday, May 6, 2009

Ibteda Kartay Hain

Ok, accha hay


Ibteda kartay hain:


AankheN rahain gi shaam o sehar muntazir teri
Aankhon ko soNp deNgay tera intizaar hum


Friend4u4ever

Ehsas e Muhabbat

Ehsas-e-muhabat k liye bus itna hi kafi hai,


Tere beghair bhi hum, Tere hi rehty Hen….!

Karam Hai Ki Tum Ne Bulaaya Hai Hum Ko



Karam Hai Ki Tum Ne Bulaaya Hai Hum Ko
Kaleyzey Se Apney Lagayaa Hai Hum Ko


Tumhain Jaankar Bhi Nahi Jaanta Tha
Shub-O-Roz Jalwa Dikhayaa Hai Hum Ko


Jahannum Waheen Hai Jahaan Tum Nahi Ho
Tarannum Mein Pariyon Ney Gaayaa Hai Tum Ko
Tumhara Kaheen Bhi Muqaabil Nahi Hai
Khuda Ney Alug Sey Banaayaa Hai Tum Ko


Ye Gunchey Ye Rungeeniyan: Kuchh Naheen Hain
Shafuq Ney Bahut Aazmaayaa Hai Tum Ko


Talaashaa Thaa Katme-E-Adum Mein Bhi Mainey
Magar Mulq-E-Fanee Mein Paayaa Hai Tum Ko


Tumhain Hur Dahur Mein Pukara Hai Mainey
‘Abd’ Har Lumhey Gungunayaa Hai Tum Ko



Funny Nurse Patient Married Jokes

Nurse (to a patient with open head injury): ur name?


Patient: John Nurse : age?


Patient: 25yrs Nurse : married?


Patient: no, no! Car accident:-D

Zindagi Main Jitni Bhi Roshni Thi



Dard Ki Har Ik Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main
Phir Kabhi Na Simtunga Youn Bikhar Gaya Hon Main


Mout Bas Naheen Aati Rooh K Nikalne Se
Sans Mujh Main Baqi Hai Phir Bhi Mer Gaya Hon Main


Zindagi Main Jitni Bhi Roshni Thi Uss Se Thi
Mustaqil Andhero’n Main Ab Utar Gaya Hon Main


Share By : Jatin Gandhi



Month of blessings

May this Ramadan be month of blessings,


A month full of forgivenesses


guidences for you and your family Ameen


Ramadan Kareem Mubarak

Kia Jalwa Karbala Mein

Kia Jalwa Karbala Mein
Dikhaya HUSSAIN Ne
Sajde Mein Ja k Sar
Kataya HUSSAIN Ne
Naize Pe Sar Tha Aur
Zubaan Pr Aayatei?
QURAAN Is Terha
Sunaya HUSSAIN Ne
NANA k DEEN Pe Har
Cheez Waar Dii
Kuch Na Apne Paas
Bachaya HUSSAIN Ne
Kyun AAQA (S.A.W.W) Ko
Na Apne Nawasey Pe
Naaz Ho
Har QAUL
MUSTAFA (S.A.W.W) Ka
Nibhaya HUSSAIN Ne

History Vs Victory

“Diamond words of hitler” “One who wins without problem its just VICTORY.”
But
“One who wins with lots of Trouble.He Creåtes HISTORY ”

Tuesday, May 5, 2009

Apne siwa

Koi Apna Nahi Hai APnay SIwa


Dusra Dusra Hi Hota Hai

Tujh Se Bichra To Kisi Dar Ka Na Raha - Urdu Poetry

best sad poetry

Roman Urdu

Tujh Se Bichra To Kisi Dar Ka Na Raha,

Khushk Pattay Ki Tarha Aaj Bhi Safar Me Hun…

Urdu

،تجھ سے بچھڑا تو کسی در کا نہ رہا
خشک پتے کی طرح آج بھی سفر میں ہوں

 

Monday, May 4, 2009

Hum Naya Saal Manatey Hen Tere Matam Se

Salam Ya Husain!!
Apni taqdeaer Jagatey hen tere Matam se,
Khoon ki raah bechaty hen tere Matam se,
Apne izhar-e-aqeedat ka saliqa ye hai,
Hum naya Saal manatey hen tere matam se.

Woh Tanha Kyun Hain



Koi Yeh Kaise Bataaye Ke Woh Tanha Kyun Hain
Woh Joh Apna Tha Wohi Aur Kissi Ka Kyun Hain
Yehi Dunya Hain Toh Phir Aisi Yeh Dunya Kyun Hain
Yehi Hota Hain Toh Aakhir Yehi Hota Kyun Hain.


Ek Zaraa Haath Baraa De Toh, Pakar Le Daaman
Uske Seene Mein Samaa Jaaye Hamaari Dhadhkan
Itni Kurbat Hain Toh Phir Faasla Kyun Hain.



Dil E Barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koii
Ek Lute Ghar Pe Diya Karta Hain Dastak Koii
Aas Joh Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyun Hain


Tum Masarat Ka Kaho, Ya Isse Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyar Ka Rishta Hain Janam Ka Rishta
Hain Joh Janam Ka Yeh Rishta Toh Badalta Kyun Hain…?



Hindi shayari zulfein



Zulfen hain uski bheegi huyi raat jaisi,
Lehja khushk sa hai barsaat jaisa,
Khushbu se uski mehkti hai qaayenaat,
Uska khyaal bhi hai mulaaqaat ki jaisa.


Zulfein Yuin Hi Sar-E-Aam Sanwara Na Keejiye
Be-Mout Hamko Husn Se Mara Na Keejiye.


Lehraate Hain Ye Gaisoo Yuin Ke Dil Machal Uthhe,
Kandhei Ko Ik Ada Se Yuin Usaara Na Keejiye.


Rukhsaar Per Yuin Kha Ke Bal Barpa Rahien Keher,
In Naginon Si Zulfein Ab Awara Na Keejiye.


Kundal Si Bani Lat Terien, Aankhein Hain Chhal Rahien,
Aa-Aa Ke Mere Khwaab Main Ishara Na Keejiye.


Jhatakte Ho Jab Ye Zulfein Toh Shayari Meri Bane,
Per Baandh Ker Inhe Yuin Jaam Khara Na Keejiye.


Ye Zulf Yuin Girayii Tumne Dil Dehal Uthha,
Ye Iltaza Hai Bhool Ye Dubara Na Keejiye.



Share with us more Hindi shayari zulfein in Comments Section below.



Ramzan Mubarak in Advance

Ay ALLAH


Mjhe Ramzan k Lye Salamat Rakh Or Ramzan ko Mere Lye Rehmat bana Or Mere Lye Ramzan ko Maqbol Bana kar Salamat Rakh”


(AAMEEN)


Ramzan se pehle ki dua… * Ramzan mubarak in advance*

Manana shayari



Woh tera roothna mujh se,mera tujh ko mana lena,
Muhabbat ki nishani hai,galay mujh ko laga lena…!


Muhabbat jiss se hoti hai,ussi pe maan hota hai,
Kabhi main rooth jaaun tau mujhe tum bhi mana lena…!


Anaa se door hi rehna,k yeh sab kuch mita daygi,
Anaa k khol se khud ko har surat bacha lena…!


Muhabbat ke samundar mein ik tufan bhi uthta hai,
Is tufan mein jaanam mujhe kashti bana lena…!


Agar doobain gay hum dono tau ik sath doobain gay,
Mera tum se yeh waada hai,magar tum bhi nibha lena…



Wo Khfa Hein HmSe To Khfa He Rehne Do,


HmKo Unka Gunahgar He Rehne Do,


Wo Smjhte Hein Hm Ne Chorr Diya Hy Unko,


Baat To Jhoot Hai Mgr Such He Rehne Do,


Mudaton Mangi Hein Khuda Se Khushyan Unki,


Jo Ata Hay Hm Me Elzam To Elzam He Rehne Do,


Unki Shrt Hay K Mai Bevfa Bnu,


Agr Khushi Milay Unko To Muje Bevfa He Rehne Do,


Ayega Vkt To Dikhayenge Tumko Apna Khaloos,


Abi Khamosh Hain Bs Hmko Khamosh He Rehne Do.



K Jub Naraz Hoti Ho
Meri Jaan Tum Kbhi Mujhsy…
Main Hansna Bhool Jata Hun !
Mujhy Aansu Nhi Aaty ,


Magr..!!!!
Aankhon K Goshon Main Nammi Mehsoos Hoti Hai
Mujhy Hr Cheez Main Jana Kami Mehsoos Hoti Hai…!!


Share with us more Manana shayari .in comments section below.



Exciting Replies

.. Subject Day:..


ap k khyal me meri nature kis subject jesi hai.!


1-Biology: loving nature


2-Chemistry: strict n hard


3-Maths: difficult to understand but interesting


4-History: dull n bore


5-English: modern n ahead of times


6-Urdu: simple


7-Islamiat: Religious


8-Physics: totally illusion


9-Computer: Deep n quiet..


Send to frnds n get exciting replies, but first Reply me.

Sunday, May 3, 2009

Live To Get Her

Life is da way how u look it:


“LIVETOGETHER”


Some will read as:
Live Together


Others:
Live To Gather


And My friendz will read it as:
Live To Get Her

Us Shakhs Ko

Mein Kaisy Us Shakhs Ko Rula Sakta Hoon..


KHUDAYA


Jis Shakhs Ko Mein Ne Khud Ro Ro Kar Manga Hai tujh se.

Eid Good Morning poetry

Sawere Sawere ho Khushyo ka Mela
Na logo ki Parwah Na Dunya ka Jhamela
Panchiyo k Sangeet ho Or Mosam Albela
Mubarak ho Aapko EID ka Sawera !!


Good morning !!!

Life Before Computer

Life before Computer:
.
.
.
.
. . .
.
.
.
-Window was a square hole in a room.. .
-Application was something written in paper..
. -Mouse was an animal..
.
-Keyboard was a Piano.. .
-File was a important office material..
. -Hard Drive was a uncomfortable road trip..
.
-Cut was done with Knife n Paste was done with
Glue..
. -Web was spiders home.. -Virus was flu..
.
-Apple and Blackberry were just fruits…

Sher of ruksati



Wo Jo Keh Raha Tha Tum Se
Meri Laadli Si Behna !
Zara Hosley Se Rehna
Tumhein Ham Se Door Ja kar
Koi Dukh Ho Koi Gham Ho
Ussey Khushdili Se Sehna
Koi Aisa Din Na Aaye
K Tumhari Aankh Nam Ho

Tumhein Yaad Bhi Na Hoga
Meri Chand Jaisi Behna !
K Yeh Baat Kehtey Kehtey
Koi Khud Bhi Ro Raha Tha



Mirza ghalib ne har baat pe sher kaha
Nikah huwa sher kaha
rukhsati huwi sher kaha
Aur jab ghoonghat uthaya ye sher kaha
“le aayi phir kahan pe qismat humain kahan se”
“yeh to wohi jagah hai niklay thay hum jahan se”




Share with us more Sher of ruksati in Comments section below.




Saturday, May 2, 2009

Best Dua Sms For All

“”AY “ALLAH PAK” poori dunia main jitne log hen sab ko hidayet ata farma aur jo bemar hen ya preshan hen tu un sab ko apne karam se maaf farma or un ki bemari or dono jahan ke preshaniyon ko khatam farma,
or
Ay “ALLAH PAK” jis ne mje ye dua send ki us ko b hidayet ata farma aur us k tamam gunahon ko maf farma or us ke qismat achi ker or dunya aur akherat mai kamiyabi ata farma.”Ameen”
apny lye zror dua krwaeye .Na jany kis ki zuban sy ap ki taqdeer sanwar jae
<Aameen>

Life= Mobile.. Lover= Recharge.. Frends= Charger

Life= Mobile..
Lover= Recharge..
Frends= Charger..
.
.
.
.
.
.
.
Kitna bhi Recharge karlo agar charger
na ho to mobile switch off..
.
.
Kyuki Har ek frend Zaroori hota hai.

Wo Sirf Mera Hon

Kash!!
Koi to ho aisa jo sirf mera ho
Sirf mera ho…..
Mera dil uska basera ho
Chahe to chahat meri…..
Mange to mohabat meri….
Wo chand ki chandni ho to chand sirf mera ho……
Wo din ki roshni ho to suraj sirf mera ho……
Wo phoolon ki khushbo ho to ehsas sirf mera ho……
Wo raat ka ujalaa ho to chiragh sirf mera ho……
Wo ishq or mohabat ho to dil sirf mera ho……
Wo pani ka cheenta ho to daryaa sirf mera ho…..
Wo kismat ki lakeer ho to haath sirf mera ho…..

Tere Deedar Ko

Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hain…!!!


Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain…!!!


Pata Hai Majbuur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi…!!!


Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain…!!!

Friday, May 1, 2009

Chor To Diya Mujhe Par Kabhi Ye Socha Tum Ne

Chor To Diya Mujhe Par Kabhi Ye Socha Tum Ne,
Ab Kabhi Jhoot Bola To Qasmein Kis Ki Khao Gi...??


Treats you like an option

When someone treats u like an option,


helps them narrow their choices by removing


yourself from the Equation.

lamhoon ka safr

Ab jo bikhray to bikharnay ki shikayat kaisi..??


Khushk patton ki hawaoon se rafaqat kaisi..??


Main ne her dour main insaan se mohabbat ki ha..??


Jurm sangeen hai ab is main reaayat kaisi..??


Aik pata bhi ager shakh se juda hota ha..


Kya kahin dil pe guzarti hai qayamat kaisi..??


Zindagi tujh ko to lamhoon ka safr kehtay thay..


Raah main aa gai H sadiyoon ki musafat kaisi…?

doston ki pehchan

Mere doston ki pehchan itni mushkil nahi hai
Fraz…


Wo sb se aagy hotay hain jahan chawal taqseem hotay hain.
(.”)/’

Nafraten Laakh Sahi Us Ko Meri Zaat Se

Nafraten Laakh Sahi Us Ko Meri Zaat Se Magar

Mere Zikr Pe Us Ka Dil To Dharakta Ho Ga...

Nafraten Laakh Sahi