Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha
mera guncha-e-dil hai woh dil-girifata
ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha
aziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq mein hum ne kya kya na dekha
kiya mujh ko dagon sarv-e-chiragan
kabho tu ne aakar tamasha na dekha
tagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha
hijab-e-rukh-e-yar the aap hi hum
khuli aankh jab, koi parada na dekha
shab-o-roz aye “dard” darapai hun us ke
kaso ne jise yan samajha na dekha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khwaja Mir Dard
No comments:
Post a Comment