Sunday, May 10, 2009

Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye q – Mirza Ghalib



Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye q
roenge hum hazar bar koi hamen sataye q
dair nahi haram nahi dar nahi aastan nahi
baithe hain rahaguzar pe hum gair hamen uthaye q
jab wo jamal-e-dilafaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
aap hi ho nazarasoz, parde mein muh chupaye q
dashna-e-gamza jansitan, navak-e-naz bepanah
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aaye q
qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahale aadmi gham se najat paye q
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahavas ke sharm
apne pe etimad hai gair ko aazamaye q
van wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas vaza
rah mein hum milen kahan, bazm mein wo bulayen q
han wo nahi khudaparast, jao wo bevafa sahi
jisako ho din-o-dil aziz, usaki gali mein jaye q
“ghalib”-e-khasta ke bagair kon se kam band hain
roie zar-zar kya, kijie haye-haye q



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment