Thursday, May 28, 2009

raham ae gam-e-janan baat aa gai yan tak- Shamim Jaipuri



raham ae gam-e-janan baat aa gai yan tak
dasht-e-gardishi-e-dauran aur mere gareban tak
hamasafir phir koi hadasa hua shayad
ik sajab udasi hai gulsitan se zindan tak
ik hum hi lagayenge khar-o-khas ko sine se
varana san chaman mein hain mausam-e-baharan tak
mere dastak-e-vahashat ko aj rok lo varana
fasala bahut kam haihath se gareban tak
hai ‘shamim’ azal hi se silsila muhabbat ka
halqa-e-silasil se gesu-e-pareshan tak


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Shamim Jaipuri



No comments:

Post a Comment