Kathin hai rahguzar thodi dur sath chalo
bahut bada hai safar thodi dur sath chalo
tamam umr kahan koi sath deta hai
main janata hun magar thodi dur sath chalo
nashe mein choor hun main bhi tumhen bhi hosh nahi
bada maza ho agar thodi dur sath chalo
ye ek shab ke mulaqat bhi ganimat hai
kise hai kal ke khabar thodi dur sath chalo
abhi to jag rahe hain chirag rahon ke
abhi hai dur sahar thodi dur sath chalo
tavaf-e-manzil-e-janan hamen bhi karana hai
‘faraz’ tum bhi agar thodi dur sath chalo
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment