Zulfen hain uski bheegi huyi raat jaisi,
Lehja khushk sa hai barsaat jaisa,
Khushbu se uski mehkti hai qaayenaat,
Uska khyaal bhi hai mulaaqaat ki jaisa.
Zulfein Yuin Hi Sar-E-Aam Sanwara Na Keejiye
Be-Mout Hamko Husn Se Mara Na Keejiye.
Lehraate Hain Ye Gaisoo Yuin Ke Dil Machal Uthhe,
Kandhei Ko Ik Ada Se Yuin Usaara Na Keejiye.
Rukhsaar Per Yuin Kha Ke Bal Barpa Rahien Keher,
In Naginon Si Zulfein Ab Awara Na Keejiye.
Kundal Si Bani Lat Terien, Aankhein Hain Chhal Rahien,
Aa-Aa Ke Mere Khwaab Main Ishara Na Keejiye.
Jhatakte Ho Jab Ye Zulfein Toh Shayari Meri Bane,
Per Baandh Ker Inhe Yuin Jaam Khara Na Keejiye.
Ye Zulf Yuin Girayii Tumne Dil Dehal Uthha,
Ye Iltaza Hai Bhool Ye Dubara Na Keejiye.
Share with us more Hindi shayari zulfein in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment