Monday, May 4, 2009

Woh Tanha Kyun Hain



Koi Yeh Kaise Bataaye Ke Woh Tanha Kyun Hain
Woh Joh Apna Tha Wohi Aur Kissi Ka Kyun Hain
Yehi Dunya Hain Toh Phir Aisi Yeh Dunya Kyun Hain
Yehi Hota Hain Toh Aakhir Yehi Hota Kyun Hain.


Ek Zaraa Haath Baraa De Toh, Pakar Le Daaman
Uske Seene Mein Samaa Jaaye Hamaari Dhadhkan
Itni Kurbat Hain Toh Phir Faasla Kyun Hain.



Dil E Barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koii
Ek Lute Ghar Pe Diya Karta Hain Dastak Koii
Aas Joh Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyun Hain


Tum Masarat Ka Kaho, Ya Isse Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyar Ka Rishta Hain Janam Ka Rishta
Hain Joh Janam Ka Yeh Rishta Toh Badalta Kyun Hain…?



No comments:

Post a Comment