Friday, November 2, 2007

Bichad ke mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai – Mohsin Naqvi



Bichad ke mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitana udas lagata hai
ye vasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
ke is ke bad wohi duriyon ka sahara hai
kuch aur der na jhadata udasiyon ka shajar
kise khabar tere saye mein kon baitha hai
ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura ke milta hai
main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakati hai
tera badan hai ke ye aainon ka dariya hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mohsin Naqvi



No comments:

Post a Comment