Tu pas bhi ho to dil beqarar apna hai
ke hum ko tera nahi intazar apna hai
mile koi bhi tera zikr ched dete hain
ke jaise sara jahan razdar apna hai
wo dur ho to baja tark-e-dosti ka khayal
wo samane ho to kab ikhtiyar apna hai
zamane bhar ke dukhon ko laga liya dil se
is aasre pe ke ik gamgusar apna hai
‘faraz’ rahat-e-jan bhi wohi hai kya kije
wo jis ke hath se sinafigar apna hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment