Friday, November 9, 2007

Ye ab khula hai ki koi bhi manzar mera na tha – Iftikhar Arif



Ye ab khula hai ki koi bhi manzar mera na tha
main jis mein reh raha tha wohi ghar mera na tha
main jis ko ek umr sambhale phira kiya
matti bata rahi wo paikar mera na tha
mauj-e-hava-e-shahar-e-muqaddar javab de
dariya mere na the ki samandar mera na tha
phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main
kahate hain naam tak sar-e-mahazar mera na tha
sab log apne apne qabilon ke sath the
ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Arif



No comments:

Post a Comment