Wednesday, November 7, 2007

Bhadaka rahe hain aag lab-e-nagmagar se hum – Sahir Ludhianvi



Bhadaka rahe hain aag lab-e-nagmagar se hum
khamosh kya rahenge zamane ke dar se hum
kuch aur bad gae andhere to kya hua
mayus to nahi hain tulu-e-sahar se hum
le de ke apne pas faqat ek nazar to hai
q dekhen zindagi ko kisi ke nazar se hum
mana ki is zamin ko na gulazar kar sake
kuch khar kam kar gae guzri jidhar se hum



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi



No comments:

Post a Comment