Khoon se jab jala diya ek diya bujha hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua
ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai
ek diya jala hua ek diya bujha hua
mahafil-e-rang-o-nur ke phir mujhe yaad aa gai
phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua
mujh ko nishat se fuzun rasm-e-vafa aziz hai
mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua
dard ke kainat mein mujh se bhi roshni rahi
vaise meri bisat kya ek diya bujha hua
sab meri raushani-e-jan harf-e-sukhan mein dhal gai
aur main jaise reh gaya ek diya bujha hua
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Pirzada Qasim
ReplyDeleteSadece götten sikiş yapanların anal porno ve bakire sex video sahneleri