Saturday, November 24, 2007

Dosto kya hai takalluf mujhe sar dene mein – Hari Manchanda ‘Bani’



Dosto kya hai takalluf mujhe sar dene mein
sab se aage hun main kuch apni khabar dene mein
phaink deta hai idhar phul wo gahe gahe
jane kya der hai daman mera bhar dene mein


shayari kya hai ke ik umar ganvai hum ne
chand alfaz ko imkan-o-asar dene mein


baat ik aayi hai dil mein na bataun us ko
aib kya hai magar izhar hi kar dene mein


use malum tha ik mauj mere sar mein hai
wo jhijhakata tha mujhe hukm safar dene mein
main nadi par karun soch raha hun ‘bani’
mauj masruf hai pani ko bhanvar dene mein


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hari Manchanda ‘Bani’



No comments:

Post a Comment