Keep the Smile
Leave the tear
Think the joy
Forget the fear ..
Hold the laugh
Leave the pain
B joyous coz its NEW YEAR
“Haapy HAPPY NEW YEAR”
Keep the Smile
Leave the tear
Think the joy
Forget the fear ..
Hold the laugh
Leave the pain
B joyous coz its NEW YEAR
“Haapy HAPPY NEW YEAR”
Dad, I’m Blessed To Be Your Son
I Knew It From The Start.
You’re A First-Class Father;
You’re Loving, Kind, And Smart.
You Show Me How To Be A Man
You Help Me, Guide Me, Along The Way.
You’re Strong, And Yet You’re Gentle, Too.
I Hope I’m Just Like You, Someday!
What is the perfect example
of both Good & Bad Luck?
The naughty wind blows the girl skirt high (Good luck)
but at the same time
Dust falls into the boy eyes (Bad luck)
Friendship is like a book it take years to write but it may take few seconds to burn.
Iss Shah Latif Ki Dharti Mein
Iss Amn-O-Pyar Ki Basti Mein
Mein Paida Hooa Iss Dharti Mein
Parwan Charha Iss Basti Mein
Khana Bhi Yahin Ka Khaya Hai
Pani Bhi Issi Dharti Ka Pya
Ab Marna Jeena Sub Kuch He
Iss Dharti Say Hi Jore Leya
Phir Mujh Say Door Kyon Rhetey Ho?
Kyon Mujh Ko Ghair Samajhtey Ho?
Mein Tum Say Alug, Tum Mujh Say Judaa
Kyon Aisi Sochen Rakhtey Ho?
Apnon Ko Ghair Samajhtey Ho
Gheron Ko Apna Samajhtey Ho
Tum Mano Isey Ya Na Mano
Yeh Dharti Meri Dharti Hai
Iss Shah Latif Ki Dharti Ko
Mein Apni Dharti Manta Hoon
Ab Iss Kay Silay Mein Tum Mujh Say
Kya Chahtey Ho? Yeh Mujh Say Kaho
Kuch Khul Kar Dil Ki Baat Karo
Kuch Mairay Dil Ki Baat Suno
Mein Sub Kuch Wo Kar Guzroon Ga
Tum Mujh Say Jo Bhi Chahtey Ho
Ik Bar Laga Kar Dil Say Mujhey
Tum Apna Samajh Kar Parkho To
Ik Phool Hoon Mein Apno Kay Leay
Aur Aag Hoon Mein Ghairoun Kay Leay
Seenay Say Laga Kar Daikho To
Dharti Kay Leay Basti Kay Leay
Har Din Ye Tamasha Hota Hai
Is Dharti Mein Iss Basti Mein
Kay Aapus Mein Hum Lartey Hein
Or Dushman Mauj Hi Kartay Hein
Kub Tak Ye Tamasha Ho Ga Kay
Hum Apna Khoon Hi Kartay Rahein
Aur Saaray Dushman, Ghair Subhi
Khushyoon Ki Mala Japtay Rahein
Ye Sara Tamasha Khatm Karein
Sub Doori, Talkhi Mita Dein Hum
Dharti Kay Sukh Ki Khatir Ub
Aapus Mein Aika Kar Lein Hum
Tum Haath Jo Aik Baraho Gay
Mein Dono Haath Barahoon Ga
Phir Dil Say Dil Mil Jaain Gay
Yoon Hum Sub Aik Ho Jaain Gay
Aainey jasi ye teri Aankhein,
Aaina hai ya hai teri Aankhein,
Gor s dekh raha hoon in ko,
Qun hai ghabrayin si teri Aankhein,
Sharm ka bhojh le na dube inhe,
Mujhse sharmaiyn hain teri Aankhein,
Katra katra sharab lagtin hai,
Maqad e surahi si teri Aankhein,
Hosh ka kyon ab khayal karey,
Ajab khumari si teri Aankhein.
Just As A New Bloom Spreads
Fragrance And Freshness Around?
May The New Year Add A New Beauty
And Freshness Into Your Life.
Happy New Year.
Dulhay: 1st night Dulhan ke aankh pr kiss keya or kaha
“Ankhin sakhsiat ke kitab hoti hain”
Dulhan: tum ko kitaboo main khoay ho or library main aag lagi hy.
Once a girl askd a boy:
Why we have units to measure Weight,
Height,
Force,
Speed,
Distance etc.
But nothng 2 measure
Love
Trust
Frndship,
Why?
Boy thought 4 a while,
took her in arms,
looked in her deep eyes and said:
“Dekh janu bkwas na kr mai date py aya hon Physics ka paper dainy nahi” lol :d
Teacher: How Do You Differentiate
WIFE & MOTHER
SARDAR:
Before Marriage We Sleep With MOTHER
&
After Marriage
We Sleep With Our WIFE
Tum Takaluf KO Bhi Ikhlas Samajtay Ho Faraz
Dost Hota Nahi Her Hath Milanaay Wala.
Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh
Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh
Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh
Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh
Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-e-Yar Rakh
Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh
kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
aur khat mein dil-e-betab ke halat likhana
meri khatir shab-e-furqat mein na sona tera
meri yadon mein pareshan sa hona tera
aur phir khat mein shab-e-hijr ke babat likhana
kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
wo sar-e-sham khayalon mein mere kho jana
aur phir khud hi tera sharmsar ho jana
wo akele mein mujhe pyar bhara khat likhana
kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
kis liye tod diye tune sabhi ahad-e-vafa
kya hue wade muhabbat ke bata kuch to bata
kis liye chod diya tu ne mujhe khat likhana
kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
Poet of the poem/ghazal or Nazam: UnKnown
Allah ko kis wakt Hansna Bohat Naa pasand hai
1-QABRSTAN Me
2-Janaza k pichay
3-Ulma ki Majlis Me
4-Tilawat-e- QURAN Pak Me
5-Masjid Me
6-Azaan k hotay waqt..
Never worry about the size of your Christmas tree.
In the eyes of children, they are all 30 feet tall.
NURSE kept SARDAR FINGER in HER MOUTH
after BLOOD TEST.
THEN SARDAR STARTED DANCING .
NURSE:y r u DANCING.
SARDAR:next is URINE TEST
¿Wo .*”Chand”*. ka “Chamakna”
Wo .*”MaSJido”*. ka “Sawarna”
Wo .*”Musalmano”*. ki “Dhoom”
*”RamZan”*.
*”wo “Sehri” ka maza”*
“*wo “Aftari” ki bhook”*
“*wo”Quran” ki talawat”*
“*wo”Namaz”ka mamool”*
wo”Roze” ki barkat
wo Roze ka noor
ap ko chand mubarak
ramzan mubarak
Read it slowly
LIFEISNOWHERE
What did u read…???
Life is no where or life is now here…
My friends, life is all about how we look at it…!!!
GOOD MORNING..
Choti si Love Story!
Ek Dada or dadi ne,
apni jwani k dino ko phr se yad kr k manane ka socha,
unho ne faisla kiya k hm phr drya kinare milnge,
Dada suba jaldi uth kr tyar ho k,
gulab le kr pohncha pr dadi nahi aie,
Dada gusse m ghar pohncha to dekha k dadi samne bethi he,
Dada ne gusse m pocha,tm aie nahi m intazar krta rha ta tmhara,
Dadi ne shrma kr kaha,
ami ne jane he nai dia.
(‘.’)> <)) / / O My God:
I LOVE U are words just three,
which mean so much on our ANNIVERSARY.
So this is what i want to say,live in my heart n there 4 ever stay!
Marriage is that relation between man and women in which tha Independence is Equal,the Dependence mutual and tha Obligation Reciprocal
Luck has a particular Habit of favouring those who don’t depend on it…
So
Believe in urself & find a way to Achieve ur Goals!
Asslam o Alaikum! Gud Evening n have a blessed day!
Itni kashish to ho nigah-e-shoq mein
SAQI
Idher dil mein khayal aaye! Udher vo beqrar ho jae
us ne kaha sun
ahad nibhane ke khatir mat aana
ahad nibhanevale aksar majboori ya
mahajuri ke thakan se lauta karte hain
tum jao aur dariya dariya pyas bujhao
jin aankhon mein dubo
jis dil mein bhi utaro
meri talab aavaz na degi
lekin jab meri chahat aur meri khvahish ke lau
itni tez aur itni unchi ho jaye
jab dil rode
tab laut aana
Poet of the Poems / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz
Zindagi me 3 baatein kisi ko nahe batana
.
.
.
.
.
.
1_?
2_?
3_?
Kaha na nahe btana tou me be kyun bataun
Larki apni Dadi se: Main school nahi jawongi. Rasty main larkay chairty hain
.
DADI:Bahany mat banawo, mai bhi usi raste se roz bazar jati hon, Mujhe to koi nahi chairta
wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha…
mera dil jis ko sada mohabbtain sikhata raha…
us ki adat ka zara yeh pehlo toh dekho…
mujh say kiay waday woh kisi aur say nibhata raha…
kuch khaber nahi woh shaks kaya chata tha…
K taluq toor kar bhi mujh ko aazmata raha …
Tootay huay taaluq main bhi kitni mazbooti hai….
Main Jitna bhulata raha woh utna hi yaad aata raha…
From: NADEEM (03216631001)
Chahoon Main Tum Sey Milna, Agaz-E-Naye Saal Per
Muhabat Ayoo Amar Kar Jayen, Agaz-E-Naye Saal Per
Hamsafar Hai Cuna, Hai Fakhar Kudh Pey Mujhee
Jewan Ko Wafa Dey Jayen, Agaz-E-Nayee Saal Per
Be Pana Ye Peyar Hai, Jazbat Hain, Oor Naye Umeeden
Hasil Un Sab Ko Kar Jayeen, Agaz-E-Naye Saal Per
Guzry Saal Jo Na Paeya, Afsoos Na Karna Us Ka Zara
Neek Duaeen Ye Raab Sey Kareen, Agaz-E-Naye Saal Per
Chahoon Main Tum Sey Milna, Agaz-E-Naye Saal Per
Muhabat Ayoo Amar Kar Jayen, Agaz-E-Naye Saal Per
Hamsafar Hai Cuna, Hai Fakhar Kudh Pey Mujhee
Jewan Ko Wafa Dey Jayen, Agaz-E-Nayee Saal Per
Be Pana Ye Peyar Hai, Jazbat Hain, Oor Naye Umeeden
Hasil Un Sab Ko Kar Jayeen, Agaz-E-Naye Saal Per
Guzry Saal Jo Na Paeya, Afsoos Na Karna Us Ka Zara
Neek Duaeen Ye Raab Sey Kareen, Agaz-E-Naye Saal Per
Hai Ye Ilteja Mery Raab Sey Rakhy Khuda Shaad Hameen
Ayoo Mil Kar Dua Kareen, Agaz-E-Nayee Saal Per
Ek Ladki Ne ChotY Bache K GaL Pe Kiss Ki
GIRL-Oh SorrY TumHare GaL Pe LiPstik LaG Gai
Bacha-KuCh Acha Karne Se Agar DaaG Lagte Hen,To DaaG to Ache Hote Hen:-)
Even though just recently we’ve met,
I feel you are to me a second mother.
Sometimes between one person and another
There is a strangely comfortable first fit.
With you I feel just like a lonely moon
Come to the attraction of an earth,
Swinging gratefully across its girth
As if possessed at last by love its own.
With the adult need for time and space
There is the child’s need for something more:
A love that needs no answer at the core
Of all that gives one dignity and grace.
Hamari Anay Wali Nasal Ki
A.B.C
Is Trhan Hogi
A- Apple Phone
B- Bluetooth
C- Chating
D- Download
E- Email
F- Facebook
G- Google
H- Hotmail
I- I-Pod
J- Java
K- Kingston
L- Laptop
M- Message
N- Nokia
O- Outlook
P- Party
Q- Quick Time
R- Ram
S- Skype
T- Touch Screen
U- USB
V- Veena Malik
W- Wifi
X- Xp
Y- Youtube
And
Z- Zardari lofar C Ganjy nalon Changa C…?
Khushi Chah Jati Hai
Chehre Pe Khushi Chah Jati Hai
Ankhon Mein Suroor Aajata Hai
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho
Apne Pe Guroor Aajata Hai
Tum Husn Ki Khud Ek Dunya Ho,
Shayad Yeh Tumhain Maloom Nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe Noor Aajata Hai
Hum Pass Se Tum Ko Kiya Dekhen
Jab Tum Mukabil Hote HO
Betaab Nighaoon Ke Aage ,
Parda Sa Zaroor Aajata Hai
Jab Tumse Mohabbat Ki Humne
Tab Jake Kahin Yeh Raaz Khula
Marne Ka Saliqa Aata Hi Nahi
Jeene Ka Shaoor Aajata Hai
Yeh Jo Zindagi Ki Kitab Hai
Yeh Kitab Bhi Kiya Kitab Hai
Kahin Ek Haseen Sa Khawab Hai
Kahien Jaan Laiwa Azab Hai
Kahien Ansuon Ki Ha Dastaan
Kahien Muskarahaton Ka Bayan Hai
Kai Chehre Is Mein Chupay Huwe
Ek Ajeeb Sa Ye Naqab Hai
Kahien Kho Diya Kahien Paa Liya
Kahien Ro Liya Kahien Ga Liya
Kahien Cheen Leti Hai Her Khushi
Kahien Meharban Be-Hesaab Hai
Kahien Barkatoon Ki Hain Barishen
Kahien Tashnagi Be-Hesaab Hai.
Frredom In The Mind,
Faith In The Words..
Pride In Our Souls..
Lets Salute The Nation On 64th Inependence Day!
******
!!‘‘‘‘””‘‘‘‘!
!!‘‘‘@‘‘‘!
!!‘‘‘‘””‘‘‘‘!
!!
!!
!!
‘‘Jay Hind‘‘
Have A Greatindependes Day
…Feel Proud 2 B An India ……..
Marna tu is jahan mein koi haadsa nahin,
FARAZ
Is dour-e- na’gawaar mein jeena kamal hai…
Mujhay Wo Larki Lagti Hai Buhat Pyari
Mujhay Ho Gai Hai Dosto Ishq Ki Bimari
Is Dil Ka Haal Kehnay Ki Hamesha Karta Hoon Tayari
Jis Din Wo Nahi Aati Shayri Com Par Tu Hoti Hai Khuwari
Is Din Socha Bol Kar Raho Ga Baat Saari
Jis Din Main Laya Tha Bazaar Se Black Saari
Wo Pehnay Huye Aarahi Thi Haseen Saari
Ek Larka Bola Wah Kya Khubsorat Ja Rahi Hai Naari
Is Larki Ne Us Larke Ko Thapar Maari
Aur Boli Shadi Shuda Hoon Main Nahi Kunwari
Tum Larko Hoti Hai Chernay Ki Gandi Bimari
Yeh Baat Sun Kar Mere Dil Par Chal Gai Aari
Is Ghum Main Mene Rakhi Lambi See Darhi
Jub Us Ne Karli Kisi Se Shadi
Tu Yeh Din Tha Mujh Par Bara Bhaari
Tu Mene Us Ke Pati Ko Goli Maari
Ab Wo Dubara Se Ho Gai Kunwari
Is Liye Main Kar Raha Hoon Us Se Shadi Ki Tayari
Jehz Main Milay Gi Mujh Ko Lambi See Gaari
Jub Karli Mene Is Se Shadi
Tu Zindagi Khud Karli Apnay Hathon Se Tabah Kaar
iMeri Aadhi Tankhwa Se Wo Le Aati Hai Saari
Ab Dil Chahata Hai Road Par Beth Kar Ba Jao Bhikari
hal-e-dil main ne jo duniya ko sunana chaha
mujh ko har shakhs ne dil apana dikhana chaha
apni tasvir banane ki liye duniya mein
main ne har rang pe ik rang chadhana chaha
khak-e-dil jauhar-e-aina ki kam aa hi gai
lakh duniya ne nigahon se girna chaha
shola-e-barq se gulashan ko bachane ki liye
main ne har aag ko sine mein chupana chaha
apne aibon ko chupane ki liye duniya mein
main ne har shakhs pe ilzam lagana chaha
gairat-e-mauj use phenk gai sahil par
dubne wale ne jab shor machana chaha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Karrar Noori
Morning greetings
does not only mean saying Good Morning,
it has a silent message saying:
I remember you when I wake up!
Have a nice day!
“4 U”
Woh jo basa hai merey dil mein usey bataun kaisey
Dar bhi lagta hai zamaney se chupaun kaisey
Woh to panchi hai urr jaye ga
Main khood ko us k peechey uraun kaisey.@
Main to us k liye duniya hi chor doon
Is se ziyada main usey chahoon kaisey
Dil hai jo us ko apna maanta hai
Is dil-e-nadaan ko samjhaun kaisey
Woh merey dil par hukmurani karta hai AHMED
Us k ilawa main kisi aur ko dil mein basaun kaisey.
Ek aadmi apne aap nu kehnda hoya ja raha si k;-“haye oye rabba”aisi zindagi naalo ta maut e changgi aa.
Achanak Farista aa gaya te bolya:- “Tumhari jaan lene ka hukm hai”
Aadmi : Lao dasso… paaji hun koi gareeb banda majaak v nai kare
Hazrat ALI “Apne Din Ka Aghaz Sadqa Dene Se Shuru Kro,Us Din Tumhari Koi Dua Rad Nahi Jayegi. . Or Achi Baat Btana Bhi SADQA Hai…..
Aulaad K Liye Waldain Ka Pegam.
> Jis din Tum Hmen Boorha dekho, Sabar krna or hmen smjne ki koshish krna,
> Jb Hum koi Baat Bhol jain to Hum pr Tanz na krna or Apna Bachpan Yaad krna,
> Jb Hum Boorhe ho kr Chal na payen to Hmara Sahara Ban’na or Apna Pehla Qadam Yaad krna,
> Jb Hum Beemar ho jain to wo Din Yaad kr k Hum pr Apne Paisey Kharch krna jb Hum Tumhari Khuwahishen Pori krne k liye Apni Khuwahishen Qurban krte the.
Plz fwrd 2
All youngstrz.
Bhulay hain rafta rafta unhain mudaton ma hum,
Qisto mai khudkashi ka maza koi humse puchay…
Es Naye Saal mai..
Jo to chahe wo tera ho,
Har din khubsoorat aur ratain roshan ho,
Kamiyabi chumte rahe tere kadam humesha yaar,
Naya Saal Mubarok ho tuje mere Yaar.
Shadi k pehly din husbnd k mobile me wife ka nam My life.
1 mahene bad My wife
1 sal bad Home
2 sal bad Hitler
4 sal bad…Wrong no..
Mohabbatein Aur Bhi Barh Jati Hain Juda Hony Se,
Tum Sirf Meri Ho, Is Baat Ka Khayal Rakhna……..!
For Someone Very Special…..
MMQ – RS
*Teri hasrat hai dil me jise dil se mita bhi na sakun*
*dhundhne us ko chala hun jise pa bhi na sakun*
*Dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha*
*ki yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun*
*zab kambakht ne aur karib aa ke gala ghonta hai*
*ki usko haal sunau aur suna bhi na sakun*
*us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko*
*neend aisi aaye ki use jaga bhi na sakun*
*naqsh-e-pak dekh to lun lakh karunga sajade*
*sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun*
*bevafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko*
*ye wo qismat ka likha hai jo me mita bhi na sakun*
*es tarah soye hain sar rakh ke mere kaandho par*
*apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun*
Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye
Meri her khata ko maaf kardena ye soch k AE DOST
Shayad k ye meri zindagi ka aakhri RAMZAN ho..
Im Proud To Be A Pakistani
Where At Least I Know
Im Free
&
Wont Forget The Men
Who Died,
Who Gave That Right To Me
2 lovers in K.F.C
Larka:
kia khao gi sweet heart?
larki:
.
.
.
.
naan tikki mangva lo.
Moral:aur phassao government school ki bachiyaan……….
Shaadi se pehle Dua maangi the
Acha Pakaane waali biwi dena
Khaana mention karna bhool gaya tha 😛
Maybe love put sunshine in your heart,
Using light to leaven your long day.
Maybe it was hard, but from the start,
‘Twixt blight and bloom the sunshine had its way.
Sing, then, of mother’s love, and your delight
Descended down to me, that I might be
Alive with sunshine, bountiful and bright,
Yet yearning still for what you gave to me.
Wouldn't This World Be Better
If The Folks We Meet Would Say,
"I Know Something Good About You!"
And Treat Us Just That Way?
Wouldn't It Be Fine And Dandy
If Each Handclasp, Fond And True,
Carried With It This Assurance,
"I Know Something Good About You!"
Wouldn't Life Be Lots More Happy
If The Good That's In Us All
Was The Only Thing About Us
That Folks Bothered To Recall?
Wouldn't Life Be Lots More Happy
If We Praised The Good We See?
For There's Such A Lot Of Goodness
In The Worst Of You And Me!
Wouldn't It Be Nice To Practice
That Fine Way Of Thinking Too?
You Know Something Good About Me,
I Know Something Good About You!
Wife: Aaj Hamari Shadi Ki Anniversary Hai.
Humein Kia Karna Chaie?
Husband: Ao ..
Aaj Hum Ais Haadsay Ki Yaad Mein
2 Mint Ki Khamoshi Akhtiyaar Karein
I will love you, dear,
I will love you till China and Africa meet
and the river jumps over the mountain
and the salmon sing in the street.
Wo HamSafar Tha Magar Uske Achi Kamai Na thi,
K Soup, Chai Usne Kabi Pilai Na Thi…
Sardiyan Thin, Flu Tha, Cough Thi Magar,
Pagal Ke Pass Sab Kch Tha, Ek Dawai Na Thi…
hasrat hai tujhe samane baithe kabhi dekhun
main tujh se mukhatib hun tera hal bhi puchun
dil mein hai mulaqat ke khvahish ke dabi aag
mehandi lage hathon ko chupa kar kahan rakhun
jis naam se tune mujhe bachpan se pukara
ik umr guzarne pe bhi wo naam na bhulun
tu ashk hi ban ke meri aankhon mein sama ja
main aaina dekhun to tera aks bhi dekhun
puchun kabhi gunchon se sitaron se hawa se
tujh se hi magar aa ke tera naam na puchun
ae meri tamanna ke sitare tu kahan hai
tu aaye to ye jism shab-e-gam ko na saunpun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Kishwar Naheed
Haat Samaiy Ke Khanjar Dekh
Faile Jantar–Mantar Dekh
Sacchayi Ka Haal Na Pooch
Bikhre Asthi–Panjar Dekh
Guna-Bhag Mein Vyasth Rahe
Pyase Pade Samandar Dekh
Khad, Swarth Ki Adhik Padi
Huyi Bhawna Banjar Dekh
Kab Tak Sangarenge Ram
Gali-Gali Das-Kandhar Dekh
Mere Hasne Per Math Jaa
Ghav Anginat Andhar Dekh
Tamam roza daro sy darkhwast hai k agar wo sehatmand o tawana rehna chahtay hain to …
Aftari k oqaat me apni 0qaat me rahein…
Shukria….
“Treat everyone with sincerety..
Even those who r not sincere to u..
Not because they r not nice,
But!!
Because!!!
u r nice…. good mornig
* R A M Z A N *
.
.
R- Roza Rakhna,
A- Allah Se Darna,
M- Masjid ko jana,
Z- Zakat Dena,
A- Ache kaam karna,
N- Namaz Parhna Or
DUAON mai
MUJE Zaror Yaad Rakna
If U Never Taste A Bad Apple.
You Would Never Appreciate A Good Apple.
Sometimes We Need To Experience Bitterness Of Life
To Understand The Value Of Sweetness.
Dada apnay poatay se: tmhare teacher a rahay hen, tum chup jao.
Poata: pehle ap chup jain, mene ap ki mout ka bahana bna
kar 2 hafte ki chutti li hai…:-)
Tumhen hai shauq agar bijaliyan girane ka
hamara kam bhi hai aashiyan banane ka
bhala wo kaise samandar ke par utarega
nafas nafas jinhen khadsha hai dub jane ka
suna hai aap hain mahir hawa chalne mein
magar hamen bhi hunar hai diye jalne ka
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majid Deobandi
Eid per Girl Friend ko shopping karwanay say kesay bacha jaye?…….. . . .
First Drink then think . . . . . .Atikaaf beth jao…
sprite.. University of freshology
Kis Tarha Se Manzil-e-Irfan-e-Haydar Sochna
Ghayr Mumkin Hai Had-e-Imkaa Se Baahar Sochna
Kalma-e-Tawheed Ki Haqq-e-Wilayat Ki Qasam
Shirk Hai Ghayron Ko Maula Ke Baraabar Sochna
Khutba-e-Zehra Samajhne Ke Liye Puuri Tarha
Laazmi Hai Ban Ke Haydar Ya Payambar Sochna
Zauf-e-Jism-e-Mustafa Ka Aur Bhi Tha Kuch Ilaaj
Chaadar-e-Masooma-e-Aalam Se Hatkar Sochna
Jiske Tukrhon Par Paley As’haab-e-Khatmul Mursaleen
Kisne Ki Unki Kifaalat Zindagi Bhar Sochna
Kehte Hain Rif’at Kisey Aur Auj-e-Insaani Hai Kya
Fatema Zehra Ke Dar Par Sar Jhukaa Kar Sochna
Dushmani Bint-e-Nabi Se Aur Nabi Se Dosti
Kya Yehi Islam Hai Ay Banda Parwar Sochna
Hashr Mein Kholega Jab Apni Adaalat Kirdigaar
Mujrim-e-Baagh-e-Fidak Honge Kahaan Par Sochna
Kalma-e-Haq Ki Hifaazat Jaan Dekar Kis Ne Ki
Gar Miley Fursat Kabhi To Kalma Parhkar Sochna
A relation is not,
How long u have been together !
Not, how many times u talk to each other
It’s all abt..
How u value each other…!!
Good Morning
Phool Khilenge Gulshan Me Khubsurti Nazar aayegi
Beete Saal Ki Khatti Meethi Yaade Sung Reh Jaayegi
Aao Milkar Jashn Manaye Naye Saal Ka Hansi Khushi Se
Naye Saal Ki Pehli Subha Khushiyan Anginat Laayegi
3 dost the ak kallu
dusra billu
tesra ullu
kallu b.s.c me parh raha tha
billu m.a me parh raha tha
or ullu
sms parh raha tha
Dil akela hai bahut lala-e-sahara ke tarah
tum ne bhi chod diya hai mujhe duniya ke tarah
chod ke jao na yun ahad-e-guzishta ke tarah
ban ke umeed raho vada-e-farda ke tarah
tum hawa ho bikhero mujhe sahil sahil
mauj-e-mai ho to baha do mujhe dariya ke tarah
pas rehte ho to aata hai judai ka khayal
tum mere dil mein ho andesha-e-farda ke tarah
bich mein kuch to rah-o-rasm-e-ta’alluq rakkho
ajanabi yun nahi milate hain shanasa ke tarah
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mazhar Imam
A beautiful Hamd
Jo mile
hayat-e-khizar mjy,
0r usy mai
sarf-e-sana krun
TERA shukar phr b adaa na ho
TERA shukar kesy adaa krun
TERE lutf ki koi had nhe
Ginu kis tarha
k adad nhe
Na koi TERE siwa mera
Jsy yaad TERE siwa krun
Men bht hi
ajiz-o-be-nawa,
TERE aagy meri bisat kia?
Mei kaha krun
TU suna kry,
TU diya kry
Men lia krun
TERE dar pe kham rhy sar mera,
TERI rehmton mein guzar mera
Koi bhool ho to Maaf kr,
Mjy Bakhsh DE mere Allah ma jo b Khata krun..Ameen!
Muskurahat se zada Ansoo
khaas hote hain Pata hy kyu?
Q k Muskuraht to sb k lye hoti he
Magr Aansu sirf un k lye hote hain
Jinhein Hm Khona Nhi Chahte
A HUSBAND’s CUTE LOVE QUOTE:
“Even my child started to walk without any support but my wife still feels the need to hold my hand, while walking…!
Be Khabar, Be Waja, Be Rukhi Na Kiya Kar
JAN
Hum Toot Jate Hain Tera Lehja Badalnay Se.
Bahut hasin hai mera dilruba na ho jaye
meri nazar mai wo kafir khuda na ho jaye
tamam shahar mai meri wafa ke khushbu hai
purana zakhm kisi ka hara na ho jaye
na jane kitane baras bad wo mila hai mujhe
hai dar yahi ki wo phir se juda na ho jaye
main us se tut ke milta hun jab bhi milta hun
ye mera milana kaheen hadasa na ho jaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Ashk
A man was driving down street & he had a very important meeting & couldn’t find parking.
Looking up towards the heaven, he said, ‘Lord, have pity on me. If you find a parking space for me, I’ll go to church every sunday for the rest of my life & give up drinking.’
Miraclously, a parking space appeared.
Man looked up again & said, ‘Never mind, i found one.’ 😉
Hands Up! . U R Undr Arrest.
Q k jtne pyare ap ho. Itna pyara hona Qanonan jurm hai.
Is lye apko “Dil” me Umar Qed ki saza di jati hai;-) . . .
pta nai esa msg log muje hi Q send krte hai esi kya bt hai mujh me.
I am so sweet hana . :-*-)
Dil ki dhadkan hi ruk gai
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Jab light gayi aur kam wali massi boli:
What the hell is this? Do not you have a Generator ? 😀
Pendo mehbooba Ka Love letter.
40 ky akhrot 80 k badaam..pyary Amjad ko mera salam
Asalam o alaikum..
kal aap mery peechay atay atay girr kyun gaye thy? PLESE ap meri kahtir Cycle ahista chalayen,ap kal peelay shalwar kameez main bohot BRUTIFUL lag rahy thy, wesy to poory ilaaky mai ap sa koi nai, Dabay mai daba dabay mai cake mera amjad lakhon mai Ek;
Plese plese meeri khatir guttka khana chor den, aj paan ky Khokhy py phir sy milen gy : neeli neeli roshni kamry mai band hai, mai kya karun muje amjad pasnd hai,:-Apki jan Kosar…
Kosar +amjad = amjad kosar :p 😡 😀
Har gham ko khushi me badalti hai dosti,
Har ansu ko hasi mey badalti hai dosti,
Kuch log samajh nahi patey ke,
Andheri raat ka diya hai dosti..
Kaliyan Ishq Kaman Okha,
Kisay Nu Yar Bnana Okha,
Pyar Pyar Tay Har Koi Bollay,
Kar K Pyar Nibhana Okha,
Har Koi Dhukhan Tay Hass Lenda,
Kisay Da Dard Wadana Okha,
Gallan Nall Naye Rutbay Millday,
Jogi Bhesa Wadana Okha,
Koi Kisay Di Gall Naye Sunda,
Lokan Nu Samjhana Okha..
Share By :
Umar Mahmood
phir chali hai rel isteshan se laharati hui
nim-shab ke khamoshi mein zer-e-lab gati hui
dag-magati, jhumati, siti bajati, khelati
vadi-o-kohasar ke thandi hawa khati hui
tez jhonkon mein wo cham cham ka sarod-e-dil-nashin
aandhiyon mein meh barasane ke sada aati hui
jaise maujon ka tarannum jaise jal-pariyon ke geet
ik-ik lay mein hazaron zam-zamen gati hui
naunihalon ko sunati mithi mithi loriyan
naz-ninon ko sunahare khwab dikhalati hui
thokaren khakar, lachakati, gunagunati, jhumati
sar-khushi mein ghungharuon ke tal par gati hui
naz se har mod par khati hui sau pech-o-kham
ik dulhan apni ada se aap sharmati hui
Poet of The / Ghazal or Nazam :Majaz Lucknawi
The only place in Pakistan, where food is cheap.
Tea Rs.1.00,
Soup Rs.5.50,
Dal Rs.1.50,
Chapati Rs.1.00,
Chicken Rs.24.50,
Dosa Rs.4.00,
Veg Briyani Rs.8.00,
Fish Rs.13.00.
This is actual price list.These items are for “POOR PEOPLE” & is available at Pakistan Natonal Assembly Parliament Canteen.The salary of those poor people is Rs.180,000 per Month!! PLUS WEEKLY BONUS IN SCAMS. Pls forward to all Pakistanis rich people except MPA,MNA, SENATOR AND POLITICAL LEADERS WHO ARE REALY POOR.
Kabhi toot kar
bikhro to mujhe
yaad kar lena
,DOST.
Men thora bohat
welding ka kaam
bhi jaanta hon.
…. switch 0n kr 0e nikya. . .
Chaand ki Pehli Dastak Pay,
CHaaNd MuBaRaK Kehtay Hain,
Sub Say Pehlay Hum Aap Ko,
RAMZAN MUBAARAK kehtay hain.
Unhe Chahna hamari kamjori hai
Unhe keh nahi pana hamari majburi hai
Woh kyo nahi samjhte hamari khamoshiya
Kya pyar ka izhar karna jaruri hai
Khamoshiyo me teri awaz sunai deti hai
teri har ek nadani mujhe yaad ati hai
saat sur bhi wo sukun de nahi pate
jo teri awaz mujhe deti hai
Wo muskura ke dard taal deta hai
kisi kisi ko khuda ye kamal deta hai
nazar utha ke jis ko dekh le woh ek bar
yakeen karo use mushkil mein daal deta hai
Share with us more tarif sms in hindi in comments section below.
3 Chehray Insan Ko Kbi Nhi Bhooltey.
Ek Mushkil Me Sath Deny Wala,
Doosra Mushkil Me Sath Chorr Jany Wala.”
Or
Tesra“Misbah-Ul-Haq”
(Funny misbah ul haq sms joke Tuk tuk)
When u are angry at someone & get irritated time to time
but u still cant live with out him/her, that is a relation, a True Relation.
Is se bari dehshat Gardi aur kiya ho sakti
hai faraz…..
washroom k lotay mein koi tezab daal gaya
Mere samnay wali khidki main…..:)
ek larka har waqt Facebook pay betha rehta hai :/ :/ welaaa 😛
Kash Zindagi Ki Raaho Mein Ishq Na Mile.
Is Be-Dard Zamane Se Kuch Na Mile….
Hum Afsos Kyun Kare K Koi Humen Na Mila
Afsos To Woh Kare Jissy Hum Na Milay..
Ta’aluq toot jayega mera sare zamane se
Mere apne khafa honge tumhain apna banane se
Tumhare sath rehne se mujhe taskeen milti hai
Bohat takleef hoti hai tumhare dur jane se
Mere ghar ko jla daina mager ye zehan main rakhna
Ujala mil nahi sakta kisi ka ghar jalane se
Hamari jaan jaigi to phir jaan jaoge
K hasil kuch nahi hota kisi ko aazmane se
Tumhara naam kaise mita dun apni kahani se
Bohat gehra ta’aluq hai tera mere fasane se.
Befawa Zamana Hai Aitbaar Mat Karna
Doston Par Bhi Apne Dil Nisar Mat Karna
Milna Doston Se Apne Begaraz Hokar Tum
Dosti Ke Daman Ko Tar-Tar Mat Karna
Dil Ki Baat Logon Ke Lab Par Aa Hi Jaati Hai
Tum Kisi Ko Bhi Apna Raazdaar Mat Karna
Aarzoo Mein Jine Ki Maut Ko Bhula Baitho
Zindagi Se Tum Hargiz Itna Pyar Mat Karna
Vekh Fareeda Mitti Khulli,
Mitti Ottay Mitti Dulli,
Mitti Hassay,
Mitti Rovay,
Antt Mitti Da Mitti Hovay..
Kam aakhir jazba-e-beikhtiyar aa hi gaya
dil kuch is surat se tadapa un ko pyar aa hi gaya
jab nigahen uth gain ALLAH re meraj-e-shauq
dekhata kya hun wo jan-e-intazar aa hi gaya
hae ye husn-e-tasavvur ka fareb-e-rang-o-bu
main ne samajha jaise wo jan-e-bahar aa hi gaya
han saza de ae khuda-e-ishq ae taufiq-e-gam
phir zaban-e-be-adab par zikr-e-yar aa hi gaya
is tarah khush hun kisi ke vada-e-farda pe main
dar-haqiqat jaise mujh ko aitabar aa hi gaya
hae kafir dil ke ye kafir junun-angeziyan
tum ko pyar aaye na aaye mujh ko pyar aa hi gaya
dard ne karavat hi badali thi ki dil ke aad se
dafa’tan parda utha aur pardadar aa hi gaya
jan hi de di jigar ne aj pa-e-yar par
umr bhar ke beqarari ko qarar aa hi gaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
Stupid questions peòple ask in obvious situations:
.
1. At market: hey! What r u doing here?
Ans: Dont u know! I sell vegetables here:D
.
2. In bus: A heavy lady wearing high heel shoes steps on ur feet: Sorry did that hurt?
Ans :not at all. I’m on local anesthesia. Why dont you try again?:)
.
3.When u get woken up at midnight by a phone cal:
sorry! Were u sleeping?
Ans: No! I was doing a research whether earth is round or not. You thought i was sleeping?how sily!:p
.
4.When you see a friend with evidently short hair : hey! Have you had a haircut?
Ans: nah! Its autumn season and I am shedding! 😀 😛