Dil akela hai bahut lala-e-sahara ke tarah
tum ne bhi chod diya hai mujhe duniya ke tarah
chod ke jao na yun ahad-e-guzishta ke tarah
ban ke umeed raho vada-e-farda ke tarah
tum hawa ho bikhero mujhe sahil sahil
mauj-e-mai ho to baha do mujhe dariya ke tarah
pas rehte ho to aata hai judai ka khayal
tum mere dil mein ho andesha-e-farda ke tarah
bich mein kuch to rah-o-rasm-e-ta’alluq rakkho
ajanabi yun nahi milate hain shanasa ke tarah
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mazhar Imam
No comments:
Post a Comment