Saturday, September 29, 2012

Qarz-e-Nigaah-e-Yaar Adaa Kar Chuky Hain Hum

Qarz-e-Nigaah-e-Yaar Adaa Kar Chuky Hain Hum
Sab Kuch Nisaar-e-Raah-e-Wafa Kar Chuky Hain Hum

Kuch Imtihaan-e-Dast-e-Jafa Kar Chuky Hain Hum
Kuch Unki Dastaras Ka Pata Kar Chuky Hain Hum

Ab Ehtiyaat Ki Koi Surat Nahi Rahi
Qaatil Se Rasm-o-Raah Siwa Kar Chuky Hain Hum

Dekhen Hai Kon Kon, Zarurat Nahi Rahi
Kooay Sitam Me Sab Ko Khafa Kar Chuky Hain Hum

Ab Apna Ekhtiyaar Hai Chahe Jahan Chalen
Raah-bar Se Apni Raah Juda Kar Chuky Hain Hum

Unki Nazar Me, Kya Karen, Pheeka Hai Ab Bhi Rang
jitna Lahu Tha Sarf-e-Qaba Kar Chuky Hain Hum

Kuch Apne Dil Ki Khoo Ka Bhi Shukrana Chahiye
So Bar Unki Khoo Ka Gila Kar Chuky Hain Hum...

Qarz-e-Nigaah-e-Yaar

No comments:

Post a Comment