kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
aur khat mein dil-e-betab ke halat likhana
meri khatir shab-e-furqat mein na sona tera
meri yadon mein pareshan sa hona tera
aur phir khat mein shab-e-hijr ke babat likhana
kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
wo sar-e-sham khayalon mein mere kho jana
aur phir khud hi tera sharmsar ho jana
wo akele mein mujhe pyar bhara khat likhana
kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
kis liye tod diye tune sabhi ahad-e-vafa
kya hue wade muhabbat ke bata kuch to bata
kis liye chod diya tu ne mujhe khat likhana
kya hua tera har ik roz mujhe khat likhana
Poet of the poem/ghazal or Nazam: UnKnown
No comments:
Post a Comment