MMQ – RS
*Teri hasrat hai dil me jise dil se mita bhi na sakun*
*dhundhne us ko chala hun jise pa bhi na sakun*
*Dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha*
*ki yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun*
*zab kambakht ne aur karib aa ke gala ghonta hai*
*ki usko haal sunau aur suna bhi na sakun*
*us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko*
*neend aisi aaye ki use jaga bhi na sakun*
*naqsh-e-pak dekh to lun lakh karunga sajade*
*sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun*
*bevafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko*
*ye wo qismat ka likha hai jo me mita bhi na sakun*
*es tarah soye hain sar rakh ke mere kaandho par*
*apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun*
No comments:
Post a Comment