uthi hai magrib se ghata
pine ka mausam aa gaya
hai raqs mein ik mah-laqa
nazuk ada naz aafrin
han nachati ja gaye ja
nazron se dil baramaye ja
tadapaye ja tadapaye ja
o dushman-e-duniya-o-din
tera thirakana khub hai
teri adayen dil-nashin
lekin thahar tu kon hai
o nim-uriyan nazanin
kya mashriqi aurat hai tu
hargiz nahi hargiz nahi
teri hansi bebak hai
teri nigah chalak hai
uff kis qadar dil-soz hai
taqarir bazari teri
kitni havas aamez hai
ye sada purkari teri
sharm aur izzat valiyan
hoti hain iffat valiyan
wo husn ke shahzadiyan
parde ke hain aabadiyan
chashm-e-falak ne aj tak
dekhi nahi un ke jhalak
sarmaya-e-sharm-o-haya
zevar hai un ke husn ka
shohar ke dukh sahati hain wo
muh se nahi kahati hain wo
kab samane aati hain wo
gairat se kat jati hain wo
aziyat-e-millat un se hai
nam-e-sharafat un se hai
imam par qayam hain wo
pakiza-o-sayam hain wo
tujh mein nahi sharm-o-haya
tujh mein nahi mahar-o-vafa
sach sach bata tu kon hai
o behaya tu kon hai
ye pur-fasun gamze tere
na-maharamon ke samane
hat samane se dur ho
maradud ho maqhur ho
taqadir ke heti hai tu
shaitan ke beti hai tu
jis qaum ke aurat hai tu
us qaum par lanat hai tu
lekin thahar jana zara
teri nahi koi khata
mardon mein gairat hi nahi
qaumi hamiyat hi nahim
wo millat-e-baiza ke thi
sare jahan ke roshni
jamiyat-e-islamiyan
shahanshah-e-hindustan
ab is mein dam kuch bhi nahi
hum kya hain hum kuch bhi nahi
milli siasat uth gai
bazu ke taqat uth gai
shan-e-hejazi ab kahan
wo turk-tazi ab kahan
ab gazanavi himmat gai
ab babari shaukat gai
lekin mujhe kya khabt hai
taqarir kyon berabt hai
itna sharabi ho gaya
aql-o-khirad bhi kho gaya
mujhko zamane se garaz
mitane mitane se garaz
hindustan se kam kya
andesha-e-islam kya
jine do jine do mujhe
pine do pine do mujhe
jab hashr ka din aayega
us waqt dekha jayega
han nachati ja gaye ja
nazron se dil baramaye ja
tadapaye ja tadapaye ja
dushman-e-duniya-o-din
Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Hafeez Jullundhri
No comments:
Post a Comment