Zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ke did ka
rasta badal ke chalne ke aadat use bhi thi
us raat der tak wo raha mahv-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ke zarurat use bhi thi
mujh se bichad ke shahar mein ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se badh ke zabt ka aadi tha jee gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment