Monday, April 23, 2012

Jab bhi nazm-e-maikada badala gaya – Fana Nizami Kanpuri



jab bhi nazm-e-maikada badala gaya
ek na ek jam-e-hasin toda gaya
jab safina mauj se takra gaya
nakhuda ko bhi khuda yaad aa gaya


main ne cheda qissa-e-jaur-e-falak
jane q un ko pasina aa gaya


dekh kar un ke jafaon ka khulus
main wafa ke naam par sharma gaya
aap ab aayen hain aansu ponchane
jab mere daman pe dhabba aa gaya



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Fana Nizami Kanpuri



No comments:

Post a Comment