ye jo log tamaashaee-e-ahd-e-wafa karte hain ,
mujhe khabar bhi nahi ke har shakhs na jaane kya gunaah karte hain.
gila mujhe bhi nahi , gila unhein bhi nahi ,
fir bhi faaslein kyu ye darmiyaa’n rahte hain.
mai to bekhabar raha , hua kya , khuda jaane ,
jo har baat par log mere mar jaane ki dua karte hain.
ab ke mar jaayein ,to bhi shikwein ho’n.
zinda rahein to kamiyaa dhoondha karte hain.
muddato’n baad jab faaslein kam ho’n darmiyaa’n to
bewazah humein andekha karte hain.
mujhe ab farq nahi padta “shahzad” ,
zamaana hai,
log kuchh bhi kahein hum to yuunhi suna karte hain.
No comments:
Post a Comment