Saturday, July 31, 2010

nama gaya koi na koi namabar gaya – Seemab Akbarabadi



nama gaya koi na koi namabar gaya
teri khabar na aayi zamana guzar gaya
hansata hun yun ki hijr ke raten guzar gain
rota hun yun ki lutf-e-dua-e-sahar gaya
ab mujh ko hai qarar to sab ko qarar hai
dil kya thahar gaya ki zamana guzar gaya
ya rab nahi main vaqif-e-rudad-e-zindagi
itna hi yaad hai ki jiya aur mar gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Seemab Akbarabadi



No comments:

Post a Comment