Friday, July 9, 2010

Barish ki Bondein

Barish ki bondon ne jab dastak di darwaze per


Mehsos hua tum aye ho andaz tmhare jasa tha


Hawa k halke jhonke ne jab ahat ki khirki per


Mehsos hua tum chalay ho andaz tumhare jaisa tha


Main tanha chala jab barish may Ik jhonkay ne sath diya


Main samja tum sath ho mere Ehsas tumhare jaisa tha


Phir ruk gai wo barish b


rahi na baki ahat b


Main samja mujhe tum chor gae ANDAZ tumhare jaisa tha.

No comments:

Post a Comment