Thursday, July 1, 2010

Ghar chod ke bhi zindagi hairaniyon mein hai



ghar chod ke bhi zindagi hairaniyon mein hai
shaharon ka shor dasht ke viraniyon mein hai
kitna kaha tha us se ke daman samet le
ab wo bhi mere sath pareshaniyon mein hai
laharon mein dhundhata hun main khoye huye nagin
cheharon ka aks behte huye paniyon mein hai
darta hun ye bhi waqt ke hathon se mit na jaye
halkee si jo chamak abhi peshaniyon mein hai


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Mumtaz Rashid



No comments:

Post a Comment