Jab Tu Paida Huwa Kitna Majboor Tha
Yeh Jahan Teri Sonch Se Bhi Dour Tha
Haath Paaon Bhi Tab Tere Apney Na Thay
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapney Na Thay
Tujh Ko Aata Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maa Ne Teri
Maa Ke Saaye Main Parwaan Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Badne Laga
Dhirey Dhirey Tu Kadiyal Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan Meharban Ho Gaya
Zor-E- Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khud Hi Sajney Laga Khud Sanwarney Laga
Ek Din Ek Ladki Tujhe Bhaa Gayei
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayei
Ab Faraayez Se Tu Door Honay Laga
Beej Nafrat Ka Khud Hi Tu Boney Laga
Phir Tu Maa Baap Ko Bhi Bhulaaney Laga
Teer Baton Ke Phir Tu Chalaney Laga
Baat Be Baat Unn Se Tu Ladney Laga
Qayda Ek Naya Tu Phir Padnay Laga
Yaad Kar Tujh Se Maa Ne Kaha Ek Din
Abb Humara Guzara Nahin Tere Bin
Sunn Ke Yeh Baat Tu Tayesh Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Gaya
Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab Dekhta Hi Raha
Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tod Do
Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro
Bait Kar Aahen Bharti Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh Par Howa Na Asar
Ek Din Baap Tera Chala Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi Phir Teri Maa Toot Kar
Phir Woh Bhi Bas Kal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi
Ek Din Maut Ko Bhi Taras Agaya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Gaya
Ashk Ankhon Main Thay Woh Rawana Huwi
Maut Ki Ek Hichki Bahana Huwi
Ek Sukoon Us Ke Chehre Pe Chaaney Laga
Phir Tu Mayyat Ko Uski Sajaney Laga
Muddatain Ho Gayi Aaj Booddha Hai Tu
Tooti Khatiya Pe Pada Bora Hai Tu
Tere Bacche Bhi Abb Tujh Se Dartey Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Kartey Nahi
Dard Mein Tu Pukare Ke “O Meri Maa”
Tere Dam Se Hi Roshan The Dono Jahan
Waqt Chalta Rahta Hai Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi
Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishaan Reh Gaya
Dhoondh Ab Zor Tera Kahan Reh Gaya
Tu Ahkaam-E-Rabbi Bhulata Raha
Apne Maan-Baap Ko Tu Satata Raha
Kaat Le Tu Wohi, Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Miley Tu Ne Khoya Tha Jo
Yaad Kar Ke Gaya Daur, Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Phir Hone Laga
Maut Maange Tujhe Maut Aati Nahin
Maa Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi
Tu Jo Khanse Tu Aulad Daantey Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kaun Baantey Tujhe
Maut Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par
Qadar Maa Baap Ki Gar Koi Jaan Le
Apni Jannat Ko Duniya Main Pehchan Le
Aur Leyta Rahe Woh Badaun Ki Dua
Usi Ke Dono Jahan, Uska Haami Khuda
Yaad Rakhna Her Aulaad Is Baat Ko
Bhool Jana Na Rehmat Ki Barsat Ko
No comments:
Post a Comment