Khatm-e-shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi
dam ke dam mein afasana thi meri tabahi bhi
iltafat samajhun ya berukhi kahun is ko
reh gai khalish ban kar usaki kamanigahi bhi
yaad kar wo din jis din teri sakhtgiri par
ashk bhar ke uthi thi meri begunahi bhi
shama bhi ujala bhi main hi apni mahafil ka
main hi apni manzil ka rahabar bhi rahi bhi
gumbadon se palati hai apni hi sada “majrooh”
masjidon mein ke jake main ne dadakhvahi bhi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Majrooh Sultanpuri
No comments:
Post a Comment