Friday, September 4, 2009

Aik Qasai Ne awaz lagye

Aik Qasai awaz laga raha tha k taza Gosht hy Lailo.


Wahan se Hazrat Ali (R.A) ka guzar hua,
To Qasai ny App se bhi kaha k acha gosht hy ly lain.


Hazrat Ali (R.A) ny farmaya aaj mairi jaib ijazat nahin daiti.


Is par qasai bola k main ap se udhaar kar sakta hun.


Tu Aap ny aik buhat hikmat aamaiz jumla farmaya.


“Yeh udhaar main apne pait se kyun na kar loon jis ko main Jannat main is se behtar Ghiza khila sakta hun.”


( Subhan’Allah )

No comments:

Post a Comment