Saturday, September 12, 2009

Kafir gesu valon ke raat basar yun hoti hai – Sagar Nizami



Kafir gesu valon ke raat basar yun hoti hai
husn hifazat karta hai aur javani soti hai
mujh mein tujh mein farq nahi mujh mein farq hai ye
tu duniya par hansata hai duniya mujh par hansati hai
sabr-o-sukun do dariya hain bharate bharate bharate hain
taskin dil ke barish hai hote hote hoti hai
jine mein kya rahat thi marane mein taklif hai kya
tab duniya kyon hansati thi ab duniya kyon roti hai
dil ko to tashkhish hui charagaron se puchunga
dil jab dhak-dhak karta hai wo halat kya hoti hai
raat ke aansu ae ‘sagar’ phoolon se bhar jate hain
subah-e-chaman is pani se kaliyon ka muh dhoti hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Nizami



No comments:

Post a Comment